Bhaaron Ki Tamanna

Baharon ki tamanna ashiq ki id tu hai
Armaanon ki hai manzil haan armaanon ki hai manzil
Palkon ki neend tu hai

Kya husno haya kya mast adaa
Aai jaane-e-wafaa tu yaar mera
Dil kehta pyaar tu hai

Baharon ki tamanna ashiq ki id tu hai
Baharon ki tamanna ashiq ki id tu hai

Jazbaaton ka samandar, tu mera hai kinaara
Main shabnam tu sitaara, tu mera hai sahaara

Betabi ka main jhonka, ashiq hun main tumhara
Umango ka hai aalam, tere pyaar ka nazaara
Kyun dooriyan kyun khamoahiyan
Fizaaon ki hai khushboo, man ki ummid tu hai
Fizaaon ki hai khushboo, man ki ummid tu hai
Haan armaanon ki hai manzil, palkon ki nind tu hai
Bahaaron ki tamanna, ashiq ki eid tu hai

Tu adaaon ki hai sargam main khawanon ka taraana
Hothon ka muskuraana phoolon sa khil jaana
Ho tu yadon me jo aaye ban jaaye aashiyana
Meri saanso ko mil jaaye ek mehka mehka nazraana
Kab hogaa tera mera milna
Janmon ki dastaan ye dil ki mureed tu hai
Janmon ki dastaan ye dil ki mureed tu hai
Aakhon ki waadiyon me khwahish ki jidd tu hai
Baharon ki tamanna ashiq ki id tu hai
Baharon ki tamanna ashiq ki id tu hai



Credits
Writer(s): Pankaj Kumar, Ramesh Roshan
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link