Mere Yaara

Jee rahe hain hum jaise bhi
Ghum kam na hain ye maana
Teri baahon sa sukoon
Na kahin aur hai jaana
Dil mera hai tera deewana
Dhondhe nazar tujhko
Par magar hai ab awaara
Na hai khabar tujhko

Hai konsi gali tu
Mujhko ye batana
Dhoondhta kab tak main tumko
Yun rahoonga jaana

Bulaave tujhe yaara
Samjhade mere dil ko
Dhoondhe tujhko sapne mein
Ban ke ye begana
To aana mere yaara
Tadpawe teri yaadein
Chubhti ye doori jaana
To aana mere yaara

Aaa Ooo Aaa

Main bhatakta
Ik musafir
Maangta phirta sahara
Konsa wo pal hai jisme
Maine tujhko na pukaara

Raahein badli - Man bhi badla
Dhang na badle ye mere
Ek teri yaad hai jo
Har peher hai saath mere
Tu Safar
Tu hi manzil
Tu mera thikaana

Kis baat se
Ho khafa
Ye bataate jaana

Bulaave tujhe yaara
Samjhade mere dil ko
Dhoondhe tujhko sapne mein
Ban ke ye begana
To aana mere yaara
Tadpawe teri yaadein
Chubhti ye doori jaana
To aana mere yaara



Credits
Writer(s): Prasoon Shah
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link