Mola Hasan Ka Gham

Haaye hasan haaye hasan

Mola hasan pe waqt ajab ye qaza ka hai
Aye tasht tujhme khune jigar fatima ka hai

Haay ye kaisa zulm hua hai imam par
Har aik se sawal ye zahre dagha ka hai

Gul kar dia charaghe imamat ko kis liye
Aye zalima bhala ye taqaza wafa hai

Matam bapa hai arsh makino ke darmiyan
Noha zaban par hasane mujtaba ka hai

Khune jigar ke saath jo girta hai tasht me
Haaye har aik lakhte jigar mustafa ka hai

Qasim yateem ho gay tanha huye hussain
Arshe bari pa naalaye gham amboiya ka hai

Aelan kar rahi hai zamane me ye hawa
Aaghaz anqareeb yahan karbala ka hai

Ujda hua shahre madina hilal aaj
Ab muddato raza yahi mosam azaa ka hai



Credits
Writer(s): Hilal Naqvi
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link