Sab Maya Hai

Ghup andhaira, kaheen pai na ujaala hai
Jahan dekho wahan daal main kuch kaala hai
Sab maya hai, khoya jo bhi paaya hai
Sharif bhi bolain yahan, mujhay kioon nikaala hai

Sun zara, kattar pan ko bund kar
Kashmiri bachon jaisay, inn muthiyon main kankar
Iqbal kai illawa millay rappers sab lafantar
Awaam kee bheed saath, lagay daata saab ka langar
Mehnat, mushaqat aur jaddo jehad ka juggar nahin
Pooray khittay main apnay jaisee kissi kee bars nahin
Hard nahin, jahalat ka ilaaj nahin
Sach boloon tho tairay lyrics main kuch khaas nahin tuu sun zara

Bohat daikhay, tairay jaisay mainay bohat daikhay
Bari baaton walay khoklay yahan 100 daikhay
Aur betay, iss qalam main jo aag hai
Roz aur bharkay jaisay Australia kai baagh hain
Har taraf phadday, par oopar sai sab saath hain
Danishwari kai naam gaali galoch aam hai
Jaali log, andar taanba, bahir sona
Mask sabkai moo par jaisay smog ya corona

Ghup andhaira, kaheen pai na ujaala hai
Jahan dekho wahan daal main kuch kaala hai
Sab maya hai, khoya jo bhi paaya hai
Sharif bhi bolain yahan, mujhay kioon nikaala hai
Ghup andhaira, kaheen pai na ujaala hai
Jahan dekho wahan daal main kuch kaala hai
Sab maya hai, khoya jo bhi paaya hai
Sharif bhi bolain yahan, mujhay kioon nikaala hai

Shukar kar mujh sai para paala nai
Jahan bajjay Iqbal wahan chalta taira gaana nai
Public saath tho kya dar, kabhi rakha daalaa nai
Asal living on the edge, waqar zaka waala nai
Fasaad hai har taraf, phailay jab roz fitna
Rakha Manto ka tanz aur Jalib ka josh zinda
Par note ginna siraf maqsad ho jinka
Poochain "beta aap kitna kamaa laitay din ka?"

Meri baat sun
Kabhi tho Iqbal ka saath chun
Sawaal karain jaisay FBR kai karkun
Par waseeh apni soch, Mulakaat e Bandung
Har falsafi kai samnay ye likhayi hairankun
Yahan jo, Zauq ka fail hai wo maut ka khail hai
Tanqeed karnay walon kee yahan manzil jail hai
Jaali log, bus TV pay rona dhona
Mask sabkai moo par jaisay smog ya corona

Ghup andhaira, kaheen pai na ujaala hai
Jahan dekho wahan daal main kuch kaala hai
Sab maya hai, khoya jo bhi paaya hai
Sharif bhi bolain yahan, mujhay kioon nikaala hai
Ghup andhaira, kaheen pai na ujaala hai
Jahan dekho wahan daal main kuch kaala hai
Sab maya hai, khoya jo bhi paaya hai
Sharif bhi bolain yahan, mujhay kioon nikaala hai



Credits
Writer(s): Davide Comparini, Momin Iqbal
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link