Koi Khaas Tha

Ah!

(Yay!)

(It's RJ)

Koi khaas tha, jo mere paas tha
Jeene ki meri vo aas tha
Pyaas tha, haan mirage tha
Par jaane pe uske man udaas tha

Raaz tha, na koi raasta
Ab laut aa tujhko rabb ka vaasta
Khaak sa, jo aag tha
Vajood mera lage barbad sa

Bramhas tha, vishwas tha
Naraz par, humraaz tha
Haan paak sa, kisi khaab sa
Dil reh gaya ab be-baak sa

Nayaab tha, har cheez se
Dur dil ki ab, dehleez se
Hargeez use lauta diya
Liya tha use jo lease pe

Haan please se, ek last bar
Mere tajdaar, beda karde paar
Har cheez se, laga mujhme dhaar
Ki ab abki baar, dur rahe vo pyaar

Nayi kahaani, hai sunani
Khud ki hi thi be-imani
Roye saari rooh-roohani
Sun ye sab meri zubani

Kaisi di maula mujhko jawaani?
Kya hai ashq, aur kya hai paani?
Dard hi lage meri zindgaani
Kyun na khatm hoti pareshani?

(Kyun na khatm hoti pareshani)

(Kyun na khatm hoti...)
(It's RJ!)

Haan jaan ke, aur maan ke
Bhi chhod de, bramhand ye
Daastan ye, sab jaante
Ghurbat me hi na pehchante

Haan saamne, mere raam the
Mera dard vo, aaye the thaamne
Na jaam me na kisi baam me
Sukoon kewal chaaron dhaam me

Samman me, tha jahaan ye
Heer ranjhe to ab sirf naam ke
RJ Khan ke hain bayaan ye
Ishq karna dil ko thaam ke

Na kisi kaam ke, hote vo log
Jo dete rog, sab vilas-bhog
Tu daam de, beek jayenge sab
Ban jayega rabb, tu smart hai ab

Surat noorani, khun hai paani
Kya thi wajah maine nahi jaani
Banana tha tujhe apni raani
Khaali na jaaye qurbani

Tauba-tauba meri kahani
Khush rahe tu meri marjaani
Lamhe vo saare roomani
Baatein vo teri poorani

(Baatein vo teri puraani)

(Baatein vo teri...)
(It's RJ)



Credits
Writer(s): Raju Ali Khan
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link