Baatein

Baatein wo baatein jo lagti hme khaas thi
Kya khaas tha unme wo saari bakwaas thi
Bitaate the usme hum log peheron peher
Itni jaroori si lagti wo bakwaas thi

Khwabon ki lambi si lagti chaupal thi
Aankhein kya palkein bhi toh behaal thi
Samandar khayalon ka tha itna bda
Neendon ki usme halki si bauchhar thi

Kabhi call pe toh kabhi the hum chat par
Lete the sofe pe baithe kabhi shelf par
Baaton ki baaton me baatein hi karte rhe
Bekaar baaton pe ghanton hi ladte rhe
Hota tha takraron ka fir kuch aisa asar
Kabhi block the toh kabhi call tha hang par
Rehti thi chhoti si baatein bhi humko pta
Saalon se ab toh nhi hai hme kuch khabar

Baaton ki oono se hum jo bhi bunte rhe
ua poora toh nikla yaadon ka wo sweater
Baatein jo baaki thi karni adhuri sahi
Bina baat ki maana aayi wo doori sahi
Par mai khada hoon abhi bhi usi mod par
Jahan se gye the kabhi tum hme chhodkar
Jab bhi milegi tumko hamaari khabar
Waqt mile toh jaana wahan se gujar



Credits
Writer(s): Manish Vishwakarma
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link