Chalte Jana Hai

Ek kadam zindagi dusre kadam maut
Dard badan me dil me hai khauf
Janta hai bechari, sarkari zimmedari lekin
Neta kahe inhe chalne ka shauk
Na paisa, na khana, na jal, na bal
Milo dur inhe jana apne ghar
Bhook ka saya mazdoor pe keher
Dhokebaz Bharat ke sheher
Aur thullo se rakhe hum kya hi umeed
Jab har taraf se pitta hai gareeb
Mazdoor-o-kisan mulk banate
Rozgar mehnat se kamate
Aur hum ghar me baithe dekhe Ramayan
Instagram pe selfie ke challenge
Sarkar se na puche sawal
Ye hai Hindustani kamaal

Chalte jana hai
Chalte jana hai
Chalte jana hai
Haan chalte jana hai
Milo dur hai manzil
Mushkil hai har din
Na koi thikana hai
Bas chalte jana hai

Maine dekhe hain bade bade ghar
Maine dekhi hain badi badi colonies
Kayi saalon se biki nai ye property
Khali imaratein gareebon me baant de
Thode hi din ke liye sahi, par nahi
Bhooka rakho inhe jaan se maaro
Kaun kehta gareebi ek hinsa nahi
Hinsa ke khilaf uthate awaz
Kyu lagte tumhe deshdrohi wahi
Kyu desh se prem logo se nahi
Tumhari deshbhakti seema tak hi seemit hai
Aur isi soch se aaj kitne log peedit hain
Na puch sake hum sarkar se sawal
Use mante bhagwan, hum hain khooni deshbhakt
Main sochta hu vo kiska chowkidar tha
Aaj patri pe behta hai khoon Hindustan ka

Chalte jana hai
Chalte jana hai
Chalte jana hai
Haan chalte jana hai
Milo dur hai manzil
Mushkil hai har din
Na koi thikana hai
Bas chalte jana hai



Credits
Writer(s): Pulkit Kohli
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link