SABAR (F9 Fitness)

Kya bolti public?
F9 fitness ke saathme
Chembur ka pehla rapper
Let's go

Aaj bhi log haste hai boht mere peeche se
Khud gharpe rehke hum sablog ko kheech re hai
Kitni mehnat lagti ughne phool ko baghiche me

Kisise baat nai karneka mera mann
Gharwalo ne pyaar se diya janm
Logo ne bola ke "saale tu pura hai dumb"
Issliye firse liya meine punar janam

Meine diya vachann mere dil ko aaj
Uparwale ne dikhaya ek sahi aagaaz
Iss parwaaz ka mila mujhe pyaara ilaaj
Ab ni sunnta mein yeh jo bolta samaaj

Kya bolta samaaj nai sunne me aara
Kal ka bechara, aaj bannra hai taara
Afsos tha khudse nai milta sahaara
Khud hi bannke naav, aaj meine dhunda kinaara

Karte re karte re karte re sabar
Aaj ni toh kal, hoga tu bhi safal
Chadte re chadte re chadte reh dar
Aasman hai khula failaa tere parr

Karte re karte re karte re hustle
Baaki hai tera ab boht safar
Ruka toh girega yeh saara castle
Sapne ko haqeeqat me milke badal

Chutkaara mila mujhe logo ki baaton se
Dil pe lagte sab, aansu aate the aankhon se
Mulaaqat karta hu, khudke jazbaato se
Khush lagta jab khudko dekhta hu raaton me

Kaaton se guzar ke karta safar
Jitna aage badhi utni aati lehar
Tu rukna ni lala yeh sab hai tujhpar
Abhi toh shurwaat hai jana tujhe boht uppar

Karte re karte re karte re sabar
Milega teko tere mehnat ka fal
Karte re karte re karte re sabar
Rora kyu pagle, aayega tera bhi kal

Yeh duniya hai zaalim nai karti kadar
Time hai ab bhi kuch samajh brother
Struggle ko samjhle bachpan ka puzzle
Karte re karte re karte re sabar

Safal si life khadi hogi tere saamne
Woh bhi milege,jo nai aate the kaam me
Tu ghamand ni rakhna, maaf karke sabko jaande
Iss khushi ke waqt lo gale lagake thaam le

Baandhle dimaag me ki karna hai aaj
Sapno se nai, sapno ke liye tu bhaag
Jalne de duniya ko, badhne de aag
Saath the jo tere, aaj banngyele naag

Karte re karte re karte re sabar
Aaj nai toh kal hoga tu bhi safal
Chadte re chadte re chadte reh dar
Aasmaan hai khula failaa tere parr

Karte re karte re karte re hustle
Baaki hai tera ab boht safar
Ruka toh girega yeh saara castle
Sapne ko haqeeqat me milke badal

Life mein ek chiz hamesha yaad rakhna
Dua dene wale toh boht aayege zindagi me
Asli Motivation toh yeh jo humein gaali dete hai woh Dete hai
Yeh nai rehege toh life me adventure Nai Hoga issliye chalte rehneka karte rehneka

Haalat hai bure, par khuda tere saath me
Taklif me dekhke tujhko badhara woh haath hai
Dusri zindagi ka apne tu karna shurwaat bey
Kal ka mazaak, aaj banna khatarnaak hai

Daag lagaata yeh samaaj tere chehre pe
Tu aage jaayega toh peeche tere kehre yeh
Mere muh pe mere, tere muh pe tere hai
Inn ujaalo ko ni pata kitna dard hai andhere me

Kandhe se mere uthaata me boj
Mehnat lagan se aaj karta hu roz
Khudki banaayi duniya, khudki kari khoj
Khush hu bhai boht,aaj dekhke apni growth

Girta bhi hu toh, ab nai lagti chott
Dard leke ghumta, tab bannte yeh thoughts
Peeche rehte woh jo mann me rakhte khot
Tu sochte rehjyega apni soch degi shot

Karte re karte re karte re sabar
Milega teko tere mehnat kaa fal
Karte re karte re karte re sabar
Abey rora kyu pagle, aayega tera bhi kal

Yeh duniya hai zaalim nai karti kadar
Time hai ab bhi kuch samajh brother
Karte re karte re karte re sabar
Struggle ko samjhle bachpan ka puzzle

Aaj barasti hai safar pe rehmat
F9 fitness aalam aur ahmed
Bhailogo ne lagaayeli hai mehnat
Issliye log dekhke hojaate hai hairat

Beghairat log dekege, krenge nai
Tu badhega toh, yeh jalenge bhai
Sapno ke liye jo tadpenge nai
Woh sabar zindgi me karpayenge naii

Karo fir sabar
F9 fitness peaceout



Credits
Writer(s): Harkat Fardin
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link