Phir Se

Goonje hai, vaadi mein
Tera naam
Phir tera, zikra kare
Ye shaam
Dhoop hai tu, jo baadalon se
khilkhila ke aati hai
Sard hawa, in aabsaaron ke
Saath kyon gaati hai
Uska pata, poocha maine

Ajnabee, ajnabee hai wo
Bin chui, gudgudi hai wo
Noor hai, ya navi hai wo
Usey dekh ke, zinda hui main
Phir se
Teri roushni mein, khil gayi main Phir se
Usey dekh ke, zinda hui main
Phir se
Teri roushni mein, khil gayi main
Phir se

Kyon, dil dhadka hai phir
Kyon mujhse, pooche bina
Kyon, koi mila hai phir
Aisa jisko dil ne hai chuna

Ajnabee, ajnabee hai wo
Pyari si, reshmi hai wo
Gaalon pe thap-thapi hai wo
Usey dekh ke, zinda hua main
Phir se
Qurbat mein teri, khil gaya main
Phir se
Usey dekh ke, zinda hua main
Phir se
Qurbat mein teri, khil gaya main
Phir se

Goonje hai, parvat pe koi saaj
Cheda hai, nadiyon ne koi raag
Dhundh mein ek, nayi tasveer
Ubhar aati hai
Raat thand ki, odhe garm si
Sau khayal laati hai
Uska pata, poocha maine

Ek dua, sa asar hai wo
Zannaton, ki khabar hai wo
Ya khuda ki, nazar hai wo
Usey dekh ke, zinda hui main
Phir se
Teri roushni mein, khil gayi main Phir se
Teri chaah mein, zinda hua main
Phir se
Qurbat mein teri, khil gya main
Phir se



Credits
Writer(s): Jatin Raj, Vivek Kumar
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link