Khidki

Bolti hai khidkiyon pe baatein sabhi
Beetti hai khidkiyon pe raatein kai
Bolti hai khidkiyon pe baatein sabhi
Beetti hai khidkiyon pe raatein kai
Roz yunhi milte rahein
Bole bina kaise karein hum bayaan

Kagazon mein khwahishein hain ghulne lagi
Beetti hai khidkiyon pe raatein kai

Kagazon mein bhi likhawatein teri
Muskurane lagi hain bari bari
Tu bhi sun rahi, baatein jo likhi
Door se pard rahi hai tu nigaahein meri

Khud se mujhe de tu mila
Roke tujhe dil kyun tera?
Mil zara

Manli ho rab ne jaise arzi meri
Beetti hai khidkiyon pe raatein kai

Tera Aasma mera aasma
Dil chala wahan, tu mile jahaan
Uljhanein meri yun sulajh rahi
Zindagi meri kyun simat rahi?
Poochta khabar, koi jo agar
Bolti ussey ye hawa

Bandhli ho kal mein jaise manzil meri
Beetti hai khidkiyon pe raatein kai
Bolti hai khidkiyon pe baatein sabhi
Beetti hai khidkiyon pe raatein kai

Bolti hai khidkiyon pe baatein sabhi
Beetti hai khidkiyon pe raatein kai
Roz yunhi mil na sake
Bole bina kar na sake Hum bayaan



Credits
Writer(s): Rishabh Puri
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link