SESSION 19-20

Aaj qalam garam meri jitna marzi daal lo aag mein ghee teekha hoga
Har verse mirchi lagegi meethi ek puraani dastaan iss soz se
Jab nikli tab kayi hue baawre aur kayion ki zubaan beeki yeah

Bheegi billi bana main jab dekhe kayi lanth laathi leke khade mere
Saamne banthan kehte mulyachand na meri maut ka
Kyuki main hoon amar lekin beta main na phoolchand,

Main thaa Bedhang rakha tha barham thaa kiya bharam ki khud mil
Jaayega marham par sharam kare karam koi karam bhare
Raqam koi bo raqam bhare zakham nahi vo zakham de zakham naye,

Thii raina beet jaaye raina wala geet gaate
Vo kehna geet bankar aaya thaa toh kyu katraate?
Thaa raqeeb hota ab na koi qareeb rehta
Bana hip-hop mera pyaar "yeh naseeb hota",

Thaa nahi naseeb khota ghar waalon ne bola chal karle rap par baad
Mein nahi dikhna chahiye rota,
Tabhi likha ek gaana chhota jise kiya
Release jab haath mein nahi ek bhi note thaa,

Vo thaa May bisambis dastaan ek nayi ki shri ganesh,
Got my first song on a disease called 'corona virus',
Poster out banaya gaana 5 din kiya bhasad
Na tha asal hustle kiya amal taarikh May 20,

Se 31 aaya khayalon mein sawaalon mein aur rakhni padegi lagan agar
Ban na hai vanwaalon jaise,
Kaise hote pucho Ke aise ho tum bolne waale
Kayi aa jaate hain jaise zindagi hungam ho jaise,

Nagmaaon jaisa phir ek gaan gaaya,chaand maya,
Raas aaya toh shiv shambhu jaisa maine naach nachaya,
Naya naya chhaatra aaya naya school no fees,
Khud hi banani hai kaksha khud hi deni hai pariksha with cheese



Credits
Writer(s): Mritunjay
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link