Pyaas

Jab khud pe yakeen kiya
Mene sab jeet liya
Baar baar haar
Mene haar se hi seekh liya
Kaun mere sath
Kaun kaun hai khilaaf
Dost teen chaar
Baaki chehro pe naqaab

Halaato'n ne mujhko sikhaya yehi
Raaz ye dil ka batana nahi
Hasti mitaane ki baat thi mehfil me
Per mene khudko mitaya nahi

Koi bade parde pe
Koi chote parde pe
Naam hi toh chalta hai
Yaha har parche pe
Kaam bhi toh chalta hai
Jab paisa tere batwe me

Vahiyaat se khraab gaana
100 Million vala
Jisme kala
Voh hazaar bhi na laa para
Tujhse nahi ye meri
Khudse shikayat
Sochi mene public ki
Hai nahi jo layak
Nalayak tha main sochta tha
Jo stage name ki
Paida hoke nimta nahi
Sochta tha fame ki
Jab raate beete sadko pe
Studio me soya
Mene kiya mehsuus
Main kitna tha roya
Main
Khone laga yaara kahi apne zameer ko
Chori kari beats pe banaye mene geet jo
Voh soch thi galat
Nadaan kadam
Itna pata hai
Mujhe mila hai sabak ab

Ker na guroor tu barish pe
Ye saavan bhi phir badlega
Bheeg raha tu bein sudh hokar
Kal phir pyaas me tadpega
Ker na guroor tu barish pe
Ye saavan bhi phir badlega
Bheeg raha tu bein sudh hokar
Kal phir pyaas me tadpega

Tu hai khuda
Bhagvaan bhi tu
Kyuki dharm nahi
Ek Karm hai tu
Na mitt tu sake
Na dikh tu sake
Hasi me chupa
Ek dard hai tu
Khamosh nahi
Alfaaz hai tu
Har ek gayal ki
Awaaz hai tu
Ker khudpe yakeen
Ke misaal hai tu
Kal Parso nahi
Jo hai aaj hai tu

Ker na guroor tu barish pe
Ye saavan bhi phir badlega
Bheeg raha tu bein sudh hokar
Kal phir pyaas me tadpega
Ker na guroor tu barish pe
Ye saavan bhi phir badlega
Bheeg raha tu bein sudh hokar
Kal phir pyaas me tadpega

Ker na guroor tu barish pe
Ye saavan bhi phir badlega
Bheeg raha tu bein sudh hokar
Kal phir pyaas me tadpega
Ker na guroor tu barish pe
Ye saavan bhi phir badlega
Bheeg raha tu bein sudh hokar
Kal phir pyaas me tadpega

Rang rang mera rang rang mera...



Credits
Writer(s): Akhil Redhu
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link