Haar Nahi Mani (feat. Emdenation)

Haar nahi maani
Haar nahi maani

Aae raaste mein kaante par, himmat na haari
Tha yakeen mera toota hoti sabse awazaari
Awaaz aarai meri kya, poochta takdeer se tha
Bhoola aukaat na hmesha se zameen pe tha
Zameer ne tha, roka jab jab
Na umeedi mein ghalat kadam uthane lgta tab tab
Sochta tha ye sab, chalega kab tak
Phir socha is sabka bhi hoga koi toh maqsad
Imtehan hai ye zindagi main jaan gaya
Kon sahi kon nahi main pehchan gaya
Maan gaya duniya ko khel ye rachati bohat
Aagay barhna chahe jo uspe pathar barsaati bohat
Ab toh badla kafi kuch sabhi jaante
Jo gaali dete thay wo aaj mujhe maante
Ruk nahi paya theen rukwaten hazaar
Mere kadam na rukay saale toot gaye kaante
Saale toot gaye kaante par rukay na kadam
Haar nahi maani meri baat mein hai dum
Haar nahi maani kyunke rab ka karam
Na muashray ka darr hai muashray se jung

Toot gaye kaante par rukay na kadam
Haar nahi maani meri baat mein hai dum
Toot gaye kaante par rukay na kadam
Na muashray ka darr hai muashray se jung

Ik asawal mera tuj say hai kab tak
Kab tak tu ghut ghut k jeay ga
Kab tak tu baten rahay ga dil me
Kab tak tu khud k honto ko seeyay ga
Ye zawal tuj pay rahay ga tb tk
Jb tk khud k haq me kuch b bolay ga ni
Mana tjy chalna sikhaya baap nay
Urr na pae ga jab tak par tu kholay ga ni
Teri trha me bhi chotay ghr ka larka hun
Darta nakami say halat say larta hun
Parhta tha teri teri tha teri trha me chotay say school me
Ab parhai chor di khud ki likhai parhta hun
Teri tarha me bhi khaab dekhta hun baray baray
Bina zid pay aray rahen gay ye saray khaab dharay
Meray baray boorho nay sikhaya aik e sabak mjy
Paray paray ghar pay na hotay hain mehal kaharay
Uth chotay hosh kr peda thora josh kr
Chona hai sitaroon ko to mehnat thori roz kar
Koss na tu khud ko halaat pay na dosh dhar
Roll khud ko rastay me manzil pay na ghor kar
Meri trha koi dost nahi aaj tera
Raaj tera hoga agr aj ni hai taaj tera
Agr rah tera rokta samaj tera
To phr meri trha tu bhi dheet na ilaaj tera
Na lay tu un say salah jo na len tera mashwarah
Dhoonday tu khushi paisay me gurbat me rahay ga para
Sari umer tu daray ga paisay ni ae jaib me
Pasisa jata ni qabar me tu khod dekh lay
Jee lay apni marzi say tjy koi rok ni
In sb ki sunta q tu apni sun lay boht ni
Log kya kahen gay meray bhai kbi soch ni
Zindgi sb cheen saktay lekin tera shok ni

Toot gaye kaante par rukay na kadam
Haar nahi maani meri baat mein hai dum
Toot gaye kaante par rukay na kadam
Na muashray ka darr hai muashray se jung



Credits
Writer(s): Saad Khan
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link