Guilty (a Delhiite's Plea)

Mai dilli ka bashinda hoon
Dil se kehta hoon mai sharminda hoon
Kyu khaamosh rahoon ban ke laash rahoon
Mujhe bolna hai kyuki mai zinda hoon

Kab tak sunna kab tak ye sehna hai
Sharm lajja toh ladki ka gehna hai
Kiska charitra kitna pavitra
Ye dekh judge mat kar kisne kya pehna hai
Woh choti dress hai par woh yes nahi
No means no isme koi behas nahi
Afsos log bhool jaate hain ghar pe
Apni bhi maa ek apni bhi behna hai

Padh nahi paayi wo badh nahi paayi
Darte the maa baap unse ladh nahi paayi
Use mard ke haath se dar laga itna
Woh gir gayi haath pakad nahi paayi
Aur ek wo bhi shikaar hui jo ke anjaan thi
Bhai ki pyaari mummy papa ki jaan thi
Aap kehte hain sanskaaron ki baat hai
Woh bolna bhi seekhi na thi abhi bezubaan thi

Yaad toh hogi abhi haal hi ki baat tumhein
Ye kaale saal ki sabse kaali raat tumhein
Raat ke saaye mein chita jali uski
Behra kanoon hua suni nahi siski

Mere bhai kar ek chota sa vaada
Mann hi mann me kar le itna iraada
Apni karna tu hifaazat par sabki
Behno ki karna tu apne se zyada
Wo din kab ayega mujhe khabar nahi
Jaldi karo aur hota sabar nahi
Ek baap jab kahega sukoon se
Meri beti ghar nahi par mujhe dar nahi

Ek baap jab kahega sukoon se
Meri beti ghar nahi par mujhe dar nahi

Ek baap jab kahega sukoon se
Meri beti ghar nahi par mujhe dar nahi



Credits
Writer(s): Dhruv Yogi
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link