Lockdown

Jab maine dharti par
Bhari thi pehli saansein
Ye dunia to sabse
Baatein chupaana chaahe
Kehne ko to sab the
Apne khushiyaan manaane
Lekin jab royi mein
Bas reh gaye anjaane

Andar hi andar ghutt
Gyin thi sabki saansein
Ek bojh aur Badh gaya
Isko ab kon sambhaale?
Mere to Apne hi
The dushman Koi na maane
Chahte the ki bas koi
Mujhko dafnaade

Thode dino mein tum
Ho gaye kyun
Pareshaan?
Meri to poori
Zindagi hai yeh
LOCKDOWN
Bachpan mein dekhe sapne
Reh gaye adhure
Nadaan thi tab mein
Ye dunia mujhe
Samajh na aaye
Apni marzi se hum kuch
Kar bhi na paayein
Kyunki jeena to hme
Samaaj sikhaaye
Kehna jo chahu mein dunia se
Beh jaye sab in ashko mein
Choti si udne ki umar mein
Baandh dia in rasmo mein
Ye chaar diwaari ab mera
Aasman hai
Maan-mariyadaaon se mera
Rishta gehra hai
Insaano ke zulm kam the jo
Nochein mujhko ye haiwaan
Ab kyun?

Thode dino mein tum
Ho gaye kyun
Pareshaan?
Meri to poori
Zindagi hai ye
LOCKDOWN
Thode dino mein tum
Ho gaye kyun
Pareshaan?
Meri to poori
Zindagi hai ye
LOCKDOWN



Credits
Writer(s): Tushar Nigam
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link