Iraade

Raat ke nashe me, ghul rahe hai sabhi
Badh rahi hai khamoshiyan, badh rahi hai nami
Gungunaata har ek lamha gungunaye yehi
Tu bhi hai aur mai bhi hu, dono hai yahi

Iraade bhi vaise toh zaalim nahi
Kare kya yaha humko maalum nahi
Iraade bhi vaise toh zaalim nahi
Kare kya yaha humko maalum nahi

Chup chaap chalte fisalte, hum toh agaye
Nacheez ko bhi hum toh, tum mein pagaye
Raat ko bhi din hai toh, hum hai kya pare
Door se bhi keh diya, ab paas agaye

Takalluf bhi hai par hai tareef bhi
Kare kya yaha humko maalum nahi
Iraade bhi vaise toh zaalim nahi
Kare kya yaha humko maalum nahi

Utar raha hai nasha, raat ka abhi
Sab kuch hai dhua dhua, kya tum ho yahi
Pyaar me bhi shikaayate bhi hai lazmi
Ho sake toh rok lo, ab humko koi

Guzarta hai ek pal aur ek pal nahi
Kare kya yaha humko maalum nahi
Iraade bhi vaise toh zaalim nahi
Kare kya yaha humko maalum nahi



Credits
Writer(s): Mihir Joshi
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link