Khuda Se Yaari

Tedhi chaal ki duniya mein hoon saral sa ek insaan
Tedhi chaal ki duniya mein hoon saral sa ek insaan
Mile mere ek yaar se main vo...
Mila mere ek yaar se main vo kehlata bhagwaan
Bheekh, dua aur marham-ghar mein zikr tha tera suna
Daawat pe kabhi aaja pyaare, rooh ka mere hain tujhko payaam
Sair hi kara du sheher ki mere
Jo tere roop se waaqif hain
Dhun mera par teri ho zubaani
Dastaan teri gaaye jaa
Insaan hoon hain khwahishein meri
Choti khwahishein sun le tu
Tere dard ke kisso se meri...

Karaye jaa karaye jaa meri pehchaan karaye ja
Tere jhoothe us pyaale se ek chota ghut toh pila de yaar
Karaye jaa karaye jaa meri pehchaan karaye ja
Tere jhoothe us pyaale se ek chota ghut toh pila de yaar

Suna kuch log kehte hain tu bohut hi bada
Maana ke darr thoda tujh se hi tha laga
Ab mere darne ka hain iraada nahi
Baate sawaal nadaani se hain karna
Baat na banti aapas mein toh
Baat na banti aapas mein toh phusla kar tu mujhko manaa

Apne beech na koi aaye rooh ke siwa
Diya ho, chaadar, ya koi panna, rehna chahu in se khafa

Gaaye jaa tu gaaye jaa apne dhun mein tu gaaye jaa
Tere jhoothe us pyaale se ek chota ghut toh pila de yaar

Gaaye jaa tu gaaye jaa apne dhun mein tu gaaye jaa
Tere jhoothe us pyaale se ek chota ghut toh pila de yaar

Gaaye jaa tu gaaye jaa apne dhun mein tu gaaye jaa
Tere jhoothe us pyaale se ek chota ghut toh pila de yaar



Credits
Writer(s): Aditya Kambhampati, Aditya Karhadkar
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link