Dreams Alive

I'm born to fight
I'm born to shine
Music mere khoonmein
I'm born to rhyme

They thinkin i'm dead
But still alive
Cause my dreams alive
Cause my dreams alive

They thinkin i'm dead
But still alive
Cause my dreams alive
Because my dreams alive

Music hi kyoun kyounki behta ye meri rago mein
Bas ye apna hain mera jo alag dikhta apno mein
Sikha kitabo se nahi sehena sikha jakhmo se
Tabhi bheed se alag ye sher chamakta hajaro mein
Dhoke milte aaj bhi channi ho chuka hain jisam
Pardil mein pyarr beshumaar aaj bhi hain maa kasam
Puri ki jimmedari nibhaya bete ka farz
Naa hota ye toh abtak kar chuka tha duniya khatam
Padna jimo ke piche aadat nahin hain meri
Gar hoti aadat to ho chuki hoti century
Par hisse aise hi to nahi aati hain takleefe
Ek tarfa pyarr aur ek tarfa sab jimedaari
Mana bikhre he rishte sambhalega tera waqt
Kar mehnat pe focus baki dekh lega tera rab
Gar paisa tere pass to khush hote bohot sab
Ab main waqeef hu sabse sabki janta hoon nabj
Zut fitrat insaan ki kalam ki sachaai hain
Ab tak zinda rakhaa mujhe meri achaai ne
Kalam ye bolti sach bolti ye zut nahin
Bas likhaai nahi mere dil ki ye sihaai hain
Dikhta sirf paisa sabko nahi dikhta hain dard
Jab paisa tere pass to sabko hi chaahiye karj
Jab kuch na tha pahle kar raha tha mehnat
Maine saath hi to manga tha wo sikhaate the farj
Janta jalna padega jab akela main raat mein
Banna mujhe artist hue zagde is baat pe
Unko laga main jodunga haat unke saamne
Tabhi baithe the shayad sb free ki salah baatne
Mere junoon ko wo haisiyat se tolte
Ye bas ke nahin sapne aisa the wo bolte
Call pe troll kare kare pith piche bhi
Par bas uspe bharosa wahi dikhata hain raaste

I'm born to fight
I'm born to shine
Music mere khoonmein
I'm born to rhyme

They thinkin i'm dead
But still alive
Cause my dreams alive
Cause my dreams alive
They thinkin i'm dead
But still alive
Cause my dreams alive
Because my dreams alive

Agar chalna hi narak mein jalne ka darr kaisa
Akela chal chaude mein kyoun sochta kaun kaisa
Kya hi padta hain farak kitne hue warr tuzpe
Ye maut unke liye tera bas rahna zindaa
Aat daur samasyao ka mushklo ka tufaan
Jo tu middle class family se karta belong
Teri ho ya unki choice kya hi padta hain farak
Sarkaari job hota yaha samaaj mein samman
Samman ke chakkar mein tera bit gaya bachpan
Kab jiya life tu pachaas ya fir pachpan
Akela nahi tu hain tere jaise hain chappan
Jab karni thi mauj boss ke haath mein teri gardan
Fir biwi ke bartan bacche ka tere mundan
Kadwa par sach yahi life teri khatam
Main aisa nahin kahta important nahihain paisa
Par paise ko dekhna hain paise ke hi jaisa
Khud ko bhi dekh jara jile ab bhi hain waqt
Bana le khud ko waisa dil chahta hain jaisa ab
Tera dil chahta hain jaisa ab
96k
Peace



Credits
Writer(s): Dj Yogi
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link