Behosh Mann

Jaane kyu
Mujhko aata nazar
Manzile Guzarti raat bhar

Jaane kyu
Mujhko aata nazar
Manzile guzarti raat bhar

Behosh Mann mera
Hosh me leta na ye maza
Behosh Mann mera
Hosh me Jana kaha?

Sheher sheher Ghuma main
Aisi Raaton me
Waqt phisal raha hain
Mere haathon se
Neend khulti hai papa ki laaton se
Log kyu chubhtein hain mujhko kaato se

Problems ye life ki
Sabko satati hain
Sona chahu chain se
Par neend kaha aati hain
Mujhko na jaane kyu
Ye lagta adhoora sa
Khali mera kissa kyu
Dikhta hai pura sa?
Life ke adhure se ye
Sapne hain mere
Sachha hai Irada par
Rahe tedhe medhe
Tedhe medhe raaston se
Chalna jo sikha maine
Khud ke hi dar se bas
Ladna jo sikha maine
Jee raha hai tu bas Life ye teri
Din ke ujaale me reheti andheri kyu hai
Success ke liye struggle karte hain log
Tu bhage aage aage piche
Teri ye leri
Yaha sab kehete hogi zindagi kharab
Music me kamaane ka na dikhta hisaab
Mehenat karke phir aage badhte hai log
Is duniya me hoga bas apna hi raaj
Tu sabr toh kar
Bas ye raat gayi
Hogi nayi subah aur baat nayi
Thoda sambhal ke chal yaha jalte hain log
Tumse jalne wale log bas milenge yahi

Behosh Mann mera
Hosh me leta na ye maza
Behosh Mann mera
Hosh me Jaana kaha?



Credits
Writer(s): Gaurav Bhardwaj, Romil Hoskere, Shyama Agrawal
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link