Safar

In raaho mein chalte hue
Chal pada hu mai ek safar pe
Yaadon se ghire, khawaabo k tale
Meri manzil ab hai kaha

Ye raste hai naye
Anjaana hai ye safar
Ab jaau kaha, Yaha ya waha
Jaa raha hu na jaane kidhar

Honsla hai buland aur aankein hai band
Aashaon k pul baandhe chala hun
Mausam k rang mein, Iss Fiza sang mai
Badh chuka hu mai, ab na rukun

Kyuki keh raha hai ye dil
Manzil jaayegi mil
Par ye yaadein mujhe na kabhi
Degi jeene

Sapne sach honge kabhi
Aur khush honge sabhi
Par ye duniya mujhe na kabhi
Degi jeene

Chalte rehna hai in raaho par
Din gaye, raatein bhi kat gayi
Kuch na milta yaha, mitti ki duniya
Fir bhi bhaage sabhi bas yaha

Ho sakta hu mai bhi galat
Mujhe na pade ab farak
Samaa hai naya, Par mai chalta gaya
Na jaanu mai rukna kaha

Phool khilte rahe, log milte rahe
Hai na koi yaha humsafar
Waqt k ghere mein, Darr bhi hai mere mein
Rukna chahu par ruk na saku

Kyuki keh raha hai ye dil
Manzil jaayegi mil
Par ye yaadein mujhe na kabhi
Degi Jeene

Sapne sach honge kabhi
Aur khush honge sabhi
Par ye duniya mujhe na kabhi
Degi jeene

Ye rasta aur ye safar
Kho gaya hu mai idhar
Badla hu mai iss kadar
Kuch naa aaye mujhko nazar

Zinda hu mai ab bas yaha
Ban gaya hu mai kissa naya
Dhunduga ab rasta waha
Sabki khushiya hai jahaan

Kyuki keh raha hai ye dil
Manzil jaayegi mil
Par ye yaadein mujhe na kabhi
Degi jeene



Credits
Writer(s): Mayank Semwal
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link