Manzil

Toote khwaabon se raaste ab tak jo sile
Qismat ko bhi ik din tere sang chalna hi hoga
Sapnon ki duniya mein dard agar tune sahe
Kaaton par bhi hardum tujhko chalte jaana hoga
Rakh himmat tu Bandeya
Tera hi yeh Jahaan hai
Parindon ki tarah tujhko beparwah udna hai
Mushkil hai Safar par Manzil hai Haseen
Mushkil hai Safar par Manzil hai Haseen

Har din girta raha tu
Gir kar uthta raha tu
Unn zakhmon par hi rona hai kyu
Tujhko yeh jo gila hai
Jitna hai kam mila hai
Tujhe qismat par hi rona hai kyu
Rakh himmat tu Bandeya
Tera hi yeh Jahaan hai
Parindon ki tarah tujhko beparwah udna hai
Mushkil hai Safar par Manzil hai Haseen
Mushkil hai Safar par Manzil hai Haseen

Ek sawera aisa bhi ayega
Teri koshish ka fal
Tujhe de jayega
Mit jayega jab andhera
Apne bhitar tu jhaank le
Tere hunar ka jab gul khile
Saari fizayein mahek uthe
Aashayein jo ho teri
Rahengi na adhuri
Khuda ho sang tere
Manzil bhi hogi puri
Rakh yeh yakeen tu Bandeya
Sabko yeh dikhla de
Chaaron disha me leheraayein teri yeh Hawaayein
Mushkil hai Safar par Manzil hai Haseen
Pairon par ho Chhaale, Sapno me Yakeen



Credits
Writer(s): Mandar Gopale
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link