Katl-e-Aam

Samay hai sakht, ye hai narak
Hatho me mere jo laga hai rakht
Isse pehle tha shakk par hai abhi ni shakk
Aur jise hai shakk uska pada hai shav
Isse dete hai dhak, chhatna shabd
Bolne se pehle muh kholne se pehle
Kyuki gaye hum bhadak toh woh galat sadak
Pakde ho tum
Maa ki kasam
Hum denge patak tumhe
Bethe hai aage aur piche hai bhakt
Inko dikhti chamak par nahi dikhti dhamak
Bahe sabka lahu hume iski sanak
Hume isski talab hume iski panap
Mera bigda hai lehza aur bigdi adab
Meri budhhi hai chotti ni humko smjh
Bhara jitna hai gussa hai utni hawas
Tum mausam ho kya har din lagte alag

Tum karo toh theek par hum kare toh woh bilkul nahi
Hypocrisy ki bhi seema hoti hai khaer chodo ye bhi sahi
Gotiya rakhi hai dono ke paas, par meri tumse badi
Parde ke piche hai chalta nasha tabhi toh bante ho parda nashi
Mujko dikhta hai sab chupa...
Ungli utha raha tha
Bina sune gane batein banara tha
Hassi udaraha tha

Dastak dene gya darwaze pe bola rakho bharosa kuch bolenge ni
Usne bola ki hum kholenge ni
Aur hum bhi hai ziddi hum choddenge nahi
Toh gaya mai piche ki khidki ko todd ke
Kuda me andar uski gayi thi fatt sookha uska halak mene bola palat usne piche dekha
Maine bola whatsup
Kaha tha humne ki bakshenge ni
Aur ye baato wato se hum samjhenge ni
Ab chaiye hume yaha khoon tumhara
Toh idhar udhar ab hum bhatkenge ni
Arey bhagoge kaha pe? Jaoge jaha bhi
Saya banke tumhara aau me waha pe
Marke yaha se bhejunga narak mei
Miloge narak me marunga waha bhi

Hatho mei pothi par jahil hai
Jane kyu chhal aur kapat mei hum mahir hai
Rishte banane ki kala mei kahil hai
Milte duao mei khanjar se ghayal
Tabhi toh shayar, shayad hum goonge tabhi toh
Likhawat se karte hum zahir hai
Fir aate woh log jo kehte par rakhte nahi
Hume lagta ki humse bhi kayar hai
Jungle hai bada aur jungle yeh katil hai
Noche kabhi bhi tabhi toh hum shatir
Karna mukkammal bas apno ke khatir hai
Dekhna karta hoon kisko ab shamil me
Bharni udane par chotte hai par
Nahi jhukte hai hum nahi jhukta hai sar
Tum dedoge gaali aur haasloge par
Kabhi todd ni sakte mera raet ka ghar
Safar mei hua ghata, mere sathi the
Jane kahagaye jo mere sath hi the
Jo mere paas the woh kabhi mere khaas nahi the
Jo mere khaas hai woh abhi mere paas ni hai
Pehle thi ummeedein par abhi mujhe aas nahi
Kaam karu roz mujhe sans nahi
Pehle tha shak par ab sapno mein "kash" nahi hai
Hatya par lash ni hai, dogle jo baaz ni
Woh paas aate zor se hum khaas dete



Credits
Writer(s): Shashank Dwivedi
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link