She Lied

Pehle kese hua karte the na
Ek dusre ke khayaalo mei magan
Kisi ki zarurat na
Lagta tha jaise sab sahi hai
Par yeh waqt
Yeh waqt bhi kya cheez hai
Jis haal mei hu
Jaisa bhi hu
Ab teri zarurat nahi hai

Kal ki toh baat thi
Hum bhi toh saath the
Tere mere beech ki baat thi
Tu leke aayi dusro ko har baat mei
Pehle sirf pyaar hua karta tha
Milne ka tujhse intezaar hua karta tha
Tune bola meine tujhe jaane diya
Pagli
Usse kehte shahadat hai
Sare sare aam
Tujhe apna tha maana
Tujhe galey se lagaya
Tere liye bin soche
Bas chaldiye meidaan mei
Ladne awaam se
Pal bina kiye zaya
Iss baat pe na daalunga naqaab mei
Aur kuch nahi
Yeh sarasar baghawat hai
Kya baat hai
Mei andar se raakh
Kese daraoge tum aag se
Vese filhaal mei le rha hu saansein
Ab jo tu ghotthi nahi
Vese filhaal mei sota hu raat mei
Ab jo tu kosti nahi
Vese filhaal mei bad gaya hu aagey
Ab jo tu rokti nahi
Par sach yahi
Yeh jhoot hai baatein
Aati nai ek pal ki neend
Umeed pe kayam hai zindagi
Jo kiya tune mujhe milega tujhe bhi
Mei kafir nahi
Par tere sang rehne se behtar
Mei mar jau kahi
Kahe ki hifasat
Tu nahi woh amanat
Jo ek waqt pe thi
Woh gaya zamana
Yeh dil bechara jo samjha nahi
Thokar kha ke hi maana

Aaj bhi sochta hu
Kya abhi bhi vaise yaad karti hai
Jaise pehle kiya karti thi
Kya mera na hona
Tujhe abhi bhi satata hai
Aur teri aankhein bhar jaati
Jaise pehle kiya karti thi

Kya woh jhoot tha?
Tera haath mei haath mila kar bolna
Mujhe kabhi chod na na
Fir galey se laga kar aansu pochna
Jab aayi imtehaan ki ghadi
Toh kyu bech aayi
Mera jeeta bharosa, huh?
Meine bola kar vishwaas
Par ungli utha ke tune maanga saboot tha
Bas, aur nahi
Yeh aakhri gaana
Tere liye ab aur nahi
Jiske bhi saath tu
Meri dil se dua hai tu khush rahe
Meri baat maan mera bhoolja naam
Mere liye zaroori hai aatm-samman
Kara kharij
Khali khadaan
Jaha tha mera aaj kisi aur ka naam
Jaha tha mera aaj kisi aur ka naam
She lied
She lied
She lied
Shanti



Credits
Writer(s): Kabir Sharma
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link