Toot Ta Taara

Aankhein khuli jab toh roshan sabhi
Karna hai kya ab pata bhi nahi
Palkein yeh timtimaate hue
Peherein bhi ab toh guzarti rahein

Aankhein khuli jab toh roshan sabhi
Karna hai kya ab pata bhi nahi
Palkein yeh timtimaate hue
Peherein bhi ab toh guzarti rahein

Ungli pakad maine chalna seekha
Andar hi andar ghutta raha
Tarz- E -Fikr sab yeh karte rahe
Par chal pada main apne raaste

The "World As I See It" Einstein kahe
Sab ek dooje se hote parre
Adhoori yeh khwaaish dil main liye
Chamakte hai woh jab shaam dhale

Bachpan yeh apna beet gaya
Kya tha main aur kya ban gaya
Befikr hoke sona chahun phir se
Neend kahaan ab aati mujhe

Bachpan yeh apna beet gaya
Kya tha main aur kya ban gaya
Sabke toh hai kitne chehre yahaan
Kho gaya mera wajood kahaan

Haath dosti ka badhaate hai sab
Chuppa hota usmain unka matlab
Duniya ki ab toh yahi reet hai
Kaun paraaya kaun meet hai

Maana ki kuch khaas paaya nahi
Zyaada note bhi kamaaya nahi
Girte sambhalte bada main hua
Par kisiko giraaya nahi

Toot ta taara dekh yeh maang loon
Bachpan ke woh din phir se jeeyun
Bas jagmagaate rehna mujhe
Jab tak meri yeh lau na bujhe



Credits
Writer(s): Siddhant Bansal
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link