Haye Moosa E Kazim

Nouhakunna hai fatima laashey pay aankar
Ghurbath may haaye mara gaya hai mera pisar

Haaye moosa e kazim
Haaye moosa e kazim

Kazim kay haq may roz nayi thi azeeyatein
Deen e khuda kay waste jheyli musibatein
Teri hayaat kat gayi zindaan may pisar

Haaye moosa e kazim
Haaye moosa e kazim

Aisa aseer dekha na saarey jahan may
Guzri hayat jiski a andherey makaan may
Roti hai aaj fatema ye zulm dekhkar

Haaye moosa e kazim
Haaye moosa e kazim

Kya haal hogaya hai merey dil kay chain ka
Laasha pada hai pul pay merey noor e ain ka
Zehra ye bain karti thi sar apna peet kar

Haaye moosa e kazim
Haaye moosa e kazim

Pighlaakey sees haaye pilaatey hai ashqiya'n
Aansu wo khoo'n kay roz rulaatey hai ashqiya'n
Is waaste tadap kay jahan se kiya safar

Haaye moosa e kazim
Haaye moosa e kazim

Hyder kay janasheen shahey khushkhisaal ka
Zaher e daga ko peetey hi sadeq kay laal ka
Seeney may paara dil huwa tukdey huwa jigar

Haaye moosa e kazim
Haaye moosa e kazim

Syed pay kaisa zulm ye dhaatey hai ummatti
Marqad may Mustafa ko rulaatey hai ummatti
Hota hai zulm moosa e kazim ki lash par

Haaye moosa e kazim
Haaye moosa e kazim

Kazim ka daagh kaisey bhulayegi fatima
Laasha pisar ka kaisey uthaayegi fatima
Dekho raza bhi rotey hai kehkey pidar pidar

Haaye moosa e kazim
Haaye moosa e kazim

Ye hathkaddi ye bediya'n ab to utaardo
Maragaya hai thoda sa isko kharaar do
Kazim thay dhoop may to huwayein thi nouhagar

Haaye moosa e kazim
Haaye moosa e kazim

Seeney pay hath maarkey kehtey hai ya ali
Kazim kay gham may rotey hai farhan o arsh bhi
Jaa'n apni dono waarkey kazim ki lash par

Haaye moosa e kazim
Haaye moosa e kazim



Credits
Writer(s): Sajjad Arsh
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link