Asghar E Besheer

Islaam pe ehsaan hai tera asghar e besheer
Asghar e besheer
Islaam pe ehsaan hai tera asghar e besheer
Asghar e besheer

Kya na sahey zulm o jafa
Kya na sahey zulm o jafa Asgher e besheer

Wo nannhe se houto pe qayamat ki tapish hayee
Maa kis tarha behlaaye
Maa kis tarha behlaaye
Is haal me bhi sabr kiya asgher e besheer

Bechain thi sab bibiyaan halat pe tumhari
Karti rahi zaree
Karti rahi zaree
Tha pyaas ka phir bhi na gila
Asgher e besheer

Jis waqt ke halmin ki sadaa kano me aayii
Lab par thi dohaee
Lab par thi dohaee
Gehvare se nusrath ko chala asgher e besheer

Wo pyaase ro ro ke tera hichkiyaan lena
Jhoole me tadapna
Jhoole me tadapna
Bhulegi na maa haal tera asgher e besheer

Maidaan ko jate ho zara
Thero meri jaan
Maa tum pa ho khurbaan
Maa tum pa ho khurbaan
Kurtaa toh badal du mai tera asgher e besheer

Batla mujhe jhule me mai ab kis ko jhulaoo
Kis ko mai sulaoon
Kis ko mai sulaoon
Ajaye mujhe teri bala
Asgher e besheer

Marne ke abhi din bhi na the mannato wale
Akhon ke ujaale
Akhon ke ujaale
Kya daag ye madar ko diya asgher e besheer

Aa nannhe tere pau me ghunru toh pinha lu jhule me jhulaa lu
Jhule me jhulaa lu
De mujhko phir ek baar sadaa asgher e besheer

Veeran meri godh kiye aye mere dil bar maa hoti muztar
Maa hoti muztar
Wo kaise jiye ab ye bata asgher e besheer

Haaton pa liye laashe pisar aae jo sarwar
Tha karb ka manzar
Tha karb ka manzar
Lab par thi sohail ek ye sada asgher e besheer



Credits
Writer(s): Raza Sohail
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link