Aagayi Shaam E Ghareeban

Aagayi shaam e ghareeba'n
Hai bohath Zainab pareshaa'n

Bekafan lashay padhe hai
Aur khaimay jal rahay hai
Aur khaimay jal rahay hai
Jaal raha hai saara samaa'n
Aagayi shaam e ghareeba'n

Margayeh muslim Kay bachay
Ek dujay say lipath Kay
Ek dujay say lipath Kay
Roti hai sar peeth Kar maa'n
Aagayi shaam e ghareeba'n

Aarsh e azaam Kay sitaray
Khaaq par Zainab kay pyaray
Khaaq par Zainab kay pyaray
Hai padhe ab khoo'n may ghaltaa'n
Aagayi shaam e ghareeba'n

Laashay e akbar pada hai
Maa'n ka Dil para hua hai
Maa'n ka Dil para hua hai
Milgaya mitti may armaa'n
Aagayi shaam e ghareeba'n

Chay mahinay ka hai asghar
Bas abhi sar ko kata kar
Bas abhi sar ko kata kar
Hai pada rati pay nadaan
Aagayi shaam e ghareeba'n

Dekhkar sab rorahay hain
Garm rayte par padhe hain
Garm rayte par padhe hain
Bekafan shah hay shaidaa'n
Aagayi shaam e ghareeba'n

Shumr ke seh seh kay eezaa
Har tamachay par Sakina
Har tamachay par Sakina
Kehte hai ro ro kay amma
Aagayi shaam e ghareeba'n

Kya karay majboor Zainab
Hai ghamon say choor Zainab
Hai ghamon say choor Zainab
Bangayee sab ke neegahbaa'n
Aagayi shaam e ghareeba'n

Luthti hai Parwaaz zainab
Deti hai awaaz zainab

Jab karbala mein shaam E ghareeba'n hue
Baad E qatale hussain, fouja e aashqa qamo ki janib aane lagi
Zainab ne madine ki taraf rooq kiya
Apne nana rasoo allah ko aawaz di
Nana tere zainab, lutti hai nana
Kabhi najaf ki taraf rooq kiya, aur apne baba Ali ko aawaz di
Baba tere zainab ka koi Madad garna na raha baba
Kabhi baqi ki janib dekha aur aawaz di
Aama zehra, bhai hasan, ye zainab lutti hai aama
Al muqtasar azadaro jab fouje yazeed ne zainab k sar se chadar khanchi zainab ne nehar ki taraf rooq kiya
Aur aawaz di abbas mera chadir k muhafiz abbas ye zainab be rida hue aur tum be kafan abbas...



Credits
Writer(s): Shabbir Parwaz
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link