Badhte Kadam (feat. Shilpa Gulhane)

Jub Bhil Tribe ki mahila, Mamta bani sarpanch
tub gav ke upper caste mard krodh se hue lat pat
uske dafter mai bhare purush,
Jo adivasi aur dalitoke pragati ko mante tuch
Dhamki lootne ki izzat bech sadak bandook dikhakar
jatakar himmat usne kari FIR darj
karke giraftaar tehkikaat, khatam mili jamanat
firse ghume khule aam gunhegaar khilake rishwat
kashmir ki tasweer khichi bade dhreya se Masrat
uski awaz dabate afser keheke anti-national harkat
dala kashmiri yuvao ko bhadkane ka aarope
sach kehene ka adhikaar tho journalism pe roke
ghar tak feli khaber, pariwaar khone ka daar
batati sangharsh ke shetrake oratho ka drushtikon
jiska mar chuka tha pati tha ek saal ka masum
dekh ke paristithi Masrat ke aakho mai the aasu

jinke Badhte kadam pe hue har roz virodh,
inke Badhte kadam de naye pidhi ko badlav
khade dheet leke dilo mai ghav, sheher ya gaav
ling bhed ke khilaf bade chale yeh paav

yeh saal DO-HAZAAR-BEES aur SAU rupya mazduri.
ganne ke kheto mai mahila kare shram bina chutti
bimaar padi fir bhi khadi quki illaaj ki rakam badi
karj mai dabi soda karke majburi
bara-chovda ghanta shram nai tho mukadam kaate jurmana
itna kum na tha tho gharpe jaake bartan manjha
pati pagaar pe haak jatata
dugna kaam bina paisa aurato ko karte andekha
Pushpa kaat rahi thi gunna, shareer tha dard mai
jub garbha mai tha uske Aath mahine ka bacha
chutti na mili per saza bacha Aath din jiya
agle din wo khet looti roneka bhi samai na tha
pagar Aath din ka kata Pachso jurmana
adhikaar na pata, udher kanoon lapata
koi bekhabar karta muh meetha,
koi sheher mai bole chai mai cheeni kum hai dalo jyada

jinke Badhte kadam pe hue har roz virodh,
inke Badhte kadam de naye pidhi ko badlav
khade dheet leke dilo mai ghav, sheher ya gaav
ling bhed ke khilaf bade chale yeh paav



Credits
Writer(s): Aklesh Sutar, Abhishek Shindolkar, Joshua Fernandes
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link