Sitaray

Aanay waalay din se kaisay joren apni yaadon ko
Kal ke waadon ko
Jaagay armaan se ab kaisay bhar den un ki baaton ko
In jazbaaton ko

Gherain hum ko bahaaren
Chalein ge in ke saharay
Roshan hain ab falak mein har soo sitaray
Ho oh Sitaray

Khwaabon ke kiss dar se goonjay hain umang ki aahaten
Yeh meri chaahaten
Baaten karti hain ab mujh se baaghi dil ki khwaahishen
Yeh uss ki saazishen

Gherain hum ko bahaaren
Chalein ge in ke saharay
Roshan hain ab falak mein har soo sitaray
Ho tum sitaray

Yeh zameen, aasman, kya humaray hain nahin
Yeh haseen rahguzar kya tumharay hain nahin
Yeh zameen, aasman, kya humaray hain nahin
Yeh haseen rahguzar kya tumharay hain nahin

Pal pal dikhta hai uss din ka manzar meri aankhon mein
Tumharay haathon mein
Rokoon par na mujh se rukti hai yeh tezi saanson mein
Bheegi raaton mein

Gherain hum ko bahaaren
Chalein ge in ke saharay
Roshan hain ab falak mein har soo sitaray
Ho tum sitaray

Yeh zameen, aasman, kya humaray hain nahin
Yeh haseen rahguzar kya tumharay hain nahin
Yeh zameen, aasman, kya humaray hain nahin
Yeh haseen rahguzar kya tumharay hain nahin

Kya tumharay hain nahin



Credits
Writer(s): Hassan Shah
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link