Banjare Zindagi Ke Dar Dar Bhatakte Hue

Banjare zindagi ke
Dar dar bhatakte hue
Thokare khate hue
Zulmon ko sahte hue

Apne hone ki kahin
Koi nishaani dhoondhe
Kahan wajud hai mera
Iska jawab dhoondhe
Koi ho apna jo meri khairiyat to puchche

Banjare zindagi ke
Sachchi mohabbat dhoondhe
Sachchi ulfat ko dhoondhe
Sachche yaaron ko dhoondhe

Sachchi inayat dhoondhe
Sachchi khushi ko dhoonde
Sachche khuda ko dhoondhe
Sachche rahmat ko dhoonde
Sachchi insaniyat ke dhundhle nishaano ko dhoonde

Kahan mera pata hai
Kahan hai meri manjil
Kahan hai mere apne mere sapne mere jan-e-jigar

Koi to hoga mera
Kahin rahon mein ho khada
Kahin wo karta hoga mera intezaar

Bas pal do pal ka mile saath to kah dunga dil ke baat
Kaha suna bas kar do maaf ab aa jao mere saath

Banjare zindagi ke
Dar dar bhatakte hue
Sadiyon purani koi
Apni kahani dhoondhe

Apne hone ki kahin
Koi nishaani dhoondhe
Kahan wajud hai mera
Iska jawab dhoondhe
Kahan se aaya aur kahan main jaoon ye dhoondhe



Credits
Writer(s): Sourabh Kishore
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link