Sapne

Kitaabe deti zindagi dikhaati hai ye noor bhi
Kitaabo ki vajah se kaafi ghar se door bhi
Ek baat meri maano yaa naa maano
Par kitaabo ne hai kiye kaafi sapne choor bhi

Yahan patri pe chalna sikhaate us bande ko
Jo apne aap mai ek udta vimaan sa
Kya ye degree dilaa sakegi tumko
Jo rakhte ho khwab ek makaan aalishaan ka

Agr nahi toh kya doge jawaab
Us maa ko jisne hai dekha bs ek khwab
Padh likh k beta banega mera afsar
Jahan bhi vo jayega log thokenge salaam

Ye mukaam dia mujhe geet ne
Haar ko haraake Ace aaya fir jeetne
Waqt k mutabik log badal hai jaate
Maine badla hai waqt saath dia Manmeet ne

Karo apne mann ki tum chhod k ghabrahat ko
Dhyan se suno tumhe pukarti us aahat ko
Pehle din agar maanleta haar toh aaj
Kon raha hota sun meri is likhawat ko

Chhod do Aisi zindagi ko chhod do
Sapno se apne tum mukh naa modlo
Chhod do Aisi zindagi ko chhod do
Dusro ki baate chhod Sapno pe gaur do

Chhod do Aisi zindagi ko chhod do
Sapno se apne tum mukh naa modlo
Chhod do Aisi zindagi ko chhod do
Dusro ki baate chhod Sapno pe gaur do

Chhodo beete pal ko banaao us kal ko
Dekha tha jiska sapna usi raah pe chaldo
Taaki jab kalko beeti baato ko sochoge
Kaash kar leta vo ye bol k naa kosoge

Naukri k bojh tale dabe hoge raato mai
Why didn't I try baate goonjegi sanaato mai
Sochne k sivaa naa kuch tum kar paaoge
Baate jheel ban k beh jayegi aankho se

Maanta hu aaj meri ginti hai laakho mai
Par kal sab mujhe door se hee taakoge
Khoobiyan hai sabme khud k andar jhaanko toh
Aage khula aasman tum tod do salaakho ko

Never gave up
Banaara khudki pehchan
I never gave up
Tabhi bole mera kaam
Never gave Up
Abhi jaane bande kam
And will never give up
Ab Jaanega Hindustan



Credits
Writer(s): Ace Lekhak
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link