MUJHE NAHI PATA || SUUR E

Mujhe nahi pata,
Ki mein jaa raha kaha,
Hai ye khula aasmaan,
Aur khali raasta.
Mujhe nahi pata,
Ki mein jaa raha kaha,
Hai ye khula aasmaan,
Aur khali raasta.

Bajne wala 4,
Aur mein likhta jaa raha geet,
Hara baar baar,
Nahi mili mujhe jeet.
Khush hu ki nahi,
Ye toh mujhe ni pata,
Par mein haarunga ni,
Kyuki Maya bara dheet.
Khote dum,
Mile gum,
Aankhe num.
Khudse kudko bolu,
Maya rukna nahi.
Khushi, gum zyada gum,
Koi ni zung,
Chot dedo lakh,
Mujhe dukhta nahi.
Haste, khelte dekhe mujko,
Toh ye soche khush hu mein,
Mein hu wo kaatil,
Jisne maara Aviraj ko.
Paas nahi aana mere,
Apno ko he dukh du,
Mein khud nahi khush,
Kaise khush rakhu aapko?

Aise wakt mei bhi pyar deti wo,
Mere gum ko bhi baant leti wo,
Kaise mein batau,
Wo bhi cheekhu, ya chillau,
Boore wakt mei bhi pyar deti wo.
Sabke superhero hote unke papa,
Mera kya, mujhe mila nahi pyar,
Kabhi baap ka,
Hua haadsaa,
Khud pe mein cheekhu,
Mein khud ko he maarta.

Maa ke pyar se he,
Aaj meri saanse chale,
Beeta kal, mujhse he baatein kare,
Kal ko sota tha,
Mummy ki godi mei,
Aaj Maa ko dekhne se,
Maya ki aankhe dare.
Karta kubul,
Meine diya tujhe dard Maa,
Kadmo mei tere mein,
Rakh dunga duniya.
Jhuka sir tera,
Karmo se mere,
Toh kal hoga sir uncha,
Yahi mera sapnaa.
Dede saans,
Mujhe seene se lagale,
Karde maaf,
Mujhe jeene ki wajah de.
Chupa nahi tujse aajtak kuch bhi,
Maa dard mere seene mei,
Peene ki wajah hai.

Tera beta kabhi haar ni maanega,
Wo toh larega,
Wo karke dikhayega.
Jo bhi bole,
Aviraj se ni hoga kuch,
Fuck dede thoda,
Maya karke dikhayega.
Jab bhi karu band aankh meri Maa,
Mujhe dikhe tu,
Aur ek taraf meri jaan,
Mahal jaisa ghar,
Aur chill kare Trisha,
Teri godi me Aashvi Aditya.

Mujhe nahi pata,
Ki mein jaa raha kaha,
Hai ye khula aasmaan,
Aur khali raasta.
Mujhe hai pata,
Ki mein jaa raha kaha,
Hai ye khula aasmaan,
Toh mein jeetu duniya.



Credits
Writer(s): Avi Raj Choudhary
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link