Jashn E Sakina

Jashne sakina
Jashne sakina

Ek azadar ne jab jashne sakina rakha
Naam mehmano me abbas ka pahla rakha

Ghar me sarwar ke sakina ki wiladat jo hui
Arsh par jashn farishton ne wafa ka rakha

Ki hai abbas ne ye khas inayat hum par
Naam maddahe sakina me hamara rakha

Pucha beti ne meri nazre sakina de doon
Saamne uske jo ek paani ka kuza rakha

Dhadkane bolte quraan ke jo sun ke pali
Palne waale ne naam uska sakina rakha

Bacchiyan hain jo kanizane sakina un par
Dhoop me nikli to abbas ne saya rakha

Jab sakina ko lage pyas to bhar le kuza
Is liye qabze me abbas ne dariya rakha

Haath jode huye sab aate hain us ke dar par
Haath katwa ke bhi ghazi ne ye rutba rakha

Di ye meraj sakina ki dua ko rab ne
Parchame hazrate abbas ko uncha rakha

Karbala pahunche jo hum mahdi raza aur mazhar
Jumne ghazi ki ataon pe bharosa rakha



Credits
Writer(s): Mazhar Lucknowi
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link