Bekhudi

Kitnay barson purani hai ye daastan
Ab kahan tu
Akele hai mainay saha ye imtehaan
Tha yakeen tu wapis ayega yahan
Phir aa ke bhi upar neechay kar diya hai yeh jahaan

Tau ab bol kya kahoon mein
Soch kya karoon mein
Iss bekhudi ne chheen liya hai mujh se raasta
Khoj main phass gayi mein
Iss pal se dar gayi mein
Agay barhti rahi
Sehmi nahin khari hui mein

Nahin hai koi gham mujh ko
Tere liye main khushiyan chahti hoon
Nahin liya qadam tu ne meray liye
Par bekhudi main kho gayi thi
Kho gayi thi main

Nahin hai koi dar ab mujh ko
Hona tha jo ab hogaya hai
Aur iss umeed ko mainay chhor diya hai
Thay jo guzray pal woh bhula diye hain
Chhupa diye hain
Parday ke peechay kuch sawaal uthay thay
Lajawaab rahay hain
Tou chorro inn ko
Mann pe bharosa rakh lo

Lafzon main kya rakha hai
Khamoshi main sukoon hai
Iss bekhudi ne chheen liya tha mujh se raasta
Khoj main phass gayi mein
Khauf se aagay barhi mein
Apna hi dil behla ke
Bina ghabraye khari hui mein

Nahin hai koi gham mujh ko
Tere liye main khushiyan chahti hoon
Nahin liya qadam tu ne meray liye
Par bekhudi main kho gayi thi
Kho gayi thi main

Guzray pal main gum gaye
Hum bhi uss khwab main
Kab se
Khoj main khud ko kho gaye
Par hum iss khala main
Nafraton se shor se
Bekhudi chhor ke
Raasta dhoond hi lenge

Nafraton se agay
Tamasha peechay chhor ke
Dil ko hausla dila ke
Bina ghabraye khari hui main

Nafraton se agay
Tamasha peechay chhor ke
Dil ko hausla dila ke
Bina ghabraye khari hui main

Nahin hai koi gham mujh ko
Tere liye main khushiyan chahti hoon
Nahin liya qadam tu ne meray liye
Par bekhudi main kho gayi thi
Kho gayi thi main



Credits
Writer(s): Rehman Ashfar, Zahra Paracha
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link