Matlabi

Ye duniya matlabi hai matlabi hai log
Matlabi ho jate hai musibat me dost
Ussi wqat me dost ki hoti hai talash
Musibat me wo chod jate hai jo saath
Nibhane ki bat karte the rat din
Musibat me gayab jaise ho koi jin

Woh din bhi beta tera ek din aayega
Tera har khas jab matlabi ho jayega
Pata chal jayega tujhko tabhi
Mene q likha tha ye gana matlabi
Matlab hi nahi hai dosti ka duniya me
Dosti me ab ek usul ban gaya hai
Paisa hai to bhai bhai Nahi hai to bye bye
Dost wosst sala koi Kaam pe na kaam aaye
Dosti ki sali sabse Gandi hai jat bhai
Dost honge dur Jab mandi me tu aaye
Bandi bhi puchegi jab Jeb me tere note aaye

Note aaye laut aaye log saath me
Tu khud soch kitna dam meri baat main
Fir bhi tu laga dosti ki naad me
Pachtayega tu dekh chote badme
Jab bhi tera bura wqat aayega
Azma k dekh lena kaam kon aayega
Maa baap k siva koi saath nahi nibhayega
Tab yad tujhe bas mera gana aayega
Public k samne bas yahi tu gayega ke ke ke

Ye duniya matlabi hai matlabi hai log
Matlabi ho jate hai musibat me dost
Ussi wqat me dost ki hoti talash
Musibat me wo chod jate hai jo saath
Nibhane ki bat karte the rat din
Musibat me gayab jaise ho koi jin



Credits
Writer(s): Ashutosh B Pandey
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link