Bemisaal

Jo baatein ma ne likhi wonto karwi lagti sabko
Jo bolu meethay bol to wo nakli lagti sbko
Mere qalam ki likhai deti dard ki gawahi
Ma jhoomta hu raahi deni nai bhi koi safai
Kuch seekh lo ab lafzo ko baratne ka saleeqa
Is shugal ma guzara humne bohat waqt hamara
Baat ni bata rha hu raaz ma chupa rha
Jou guftugu hu karta bolein saad ha sitaara
Gareeb ye bechara ye kanoon k haath hi rulta ha
Kanoon ka bhi taala soona chaandi se hi khulta ha
Phal ha sabar ka par ye banda besabar ha
Dhoka dene se to zyada dhoka kha hi lena behtar ha
Bhool ky hi khud ko ma ne khud ko hi talasha ha
Doob k hi khud ma me ne khud ko hi taraasha ha
Jaana ma ne khud ko mujme pyar betahasha ha
Par dunya ma bhi bandagi nai moit aik tamasha ha
Karta har koi garbari ha
Para hu harbari ma
Sarsari ma pharphari ma
Laray ye b larkhari ma
Karte hain gadaari idr cheenkna beemari
Sir pe boj bhaari bs chahiye mehngi gaari
Safar mera ab b jaari kesi ka b kuch pata nai
Safar mera ab b jaari kesi ka b kuch pata nai
Zindagi malal ha huay bohat kamal hain
Jo muje bolay kuch idr kiski kya majal ha
Tum aik jalta hua diya mujme jalti aik mishaal ha
Seekhta ma khudse meri khud hi aik misaal ha
Kalam krta kamal meri kalah Bemisaal ha
Tum shaakh k ho patay mujme basti aik bahar ha
Idr chartay ghulaaf laikin ghatiya khayal ha
Hathyar ha ye dhun sbka hona aj visaal ha
Mere lafaz mere kayal kahayl b kamal hain
Tum mangatay jawab mere khud se kuch sawal hain
Adab se ma hu door nazdeek hu ma zindagi k
Ma ne shok ma guzaray din ab din hain mere badagi k
Darindaggi ha sari lamay ha afsurdagi k
Haseen tha aik door ab muqabala ha sansanikhez
Muje dena ha hisaab laikin ginti kharab ha
Tota tera dil mere tootay kahi khuwab hain
Nazuk mere qadam zameen banjar behisaab ha
Khud se ma mukatib mera khud se hi khitaab ha

Jo baatein ma ne likhi wonto karwi lagti sabko
Jo bolu meethay bol to wo nakli lagti sbko
Mere qalam ki likhai deti dard ki gawahi
Ma jhoomta hu raahi deni nai bhi koi safai
Kuch seekh lo ab lafzo ko baratne ka saleeqa
Is shugal ma guzara humne bohat waqt hamara
Baat ni bata rha hu raaz ma chupa rha
Jou guftugu hu karta bolein saad ha sitaara



Credits
Writer(s): Saad Aslam
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link