Gum Ho Chuka

Roz uthu subhah saali zindagi ye same hai
Roz uthu subhah karu khud ko blame main
Ek jaisa jeevan ye badlu khemein
Rehna chaahta nahin ab aur khud ke jail mein
Gunehgaar bana firu haathon mein hai hathkadi
Zapt mere bol aye khuda tuney hadd kar di
Mujhe lage paas mere bacha waqt hai nai
Tabhi roz gunaah karu log kahein sharm hai nai
Naa main rakhta hoon umeedein naa hain log zaada
Mera friend circle bana shok sabha
Zaada log rahein baje raajneeti bawa
Tabhi tu aur tere dost baithein lage lok sabha
Mere baazuon mein dam abhi hai bacha
Jo bhi likhna chaaha dum leke likha baja
Ehtiaaj naa hai kisi bhi vidvaan ki
Mera ilm hi hai saath mere jo hai saga

Main toh khoju yahaan
Jo hai gum ho chuka
Yahaan barse kehar
Aur baandhe sama

Hai ye zindagi par zindagi mein zindagi talaash karu
Kaam karu kam zaada waqt ko barbaad karu
Dikhein log par main kisi se na baat karu
Hosh mein toh hoon aadhi raat tabhi gaane likhu
Main toh chase karu khud ke hi aatma ko
Mujhe mil jaaye toh kar dunga khaatma bro
Tinke ka ghar mujhe hawaaon mein aasra do
Main jo mar jaau toh bolna matt saans la do
Jo bhi jaa chuka hai jaane do naa yaad karo
Saath mein jo hain kabhi unke bhi haalat pucho
Khaatma bro aasra do aatma ko saans la do
Itne bhi kaabil nahin toh tum jaison se faasla ho
Kaam karein din raat crew ke saath ye
Kaise karega akela mujhe log yahaan kehte hain
Matt soch ke akela hoon main
Ali baba hoon main peechhe chaalis chor mere faile hain

Main toh khoju yahaan
Jo hai gum ho chuka
Yahaan barse kehar
Aur baandhe sama
Main toh khoju yahaan
Jo hai gum ho chuka
Yahaan barse kehar
Aur baandhe sama
Main toh khoju yahaan
Jo hai gum ho chuka
Yahaan barse kehar
Aur baandhe sama



Credits
Writer(s): Subhesh Mishra
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link