Sachai

Abb kis muh se btau, Mai yeh sacchai
Koi perfect nahi hai, Sab mein hoti hai burai
Lekin fir bhi koi isko maanta nahi
Khudko asal mein koi pehchaanta nahi,

Bina wajah ke kisine tujhe call nahi kiya
Chalaki se usne apna kaam nikalwa liya
Samjha diya tujhko apna dost bna liya
Lekin zroorat padne pr woh dikhayi nhi diya

Bina problem ke log hote nahi
Bas wo teri tarah sabke saamne rote nahi
Apni life ki kitaab mein sad chpter kyu bharta hai
Teri problem se kisiko ghanta fark padta hai

Aadhe khush ki tujhpr yeh musibat aayi,
Aadhe khud ni lad paa rhe khudki ladai,
Aadho ne busy hone ki kahaani bnai
Aadho ne mazak bna kr teri hassi udai
Fark nhi padta tere raat mein na sone
Fark nhi pdta tera hasi ya Rone se
Ghar waalon ke alawa maa kasam kisiko ko ghanta
Fark nahi padta tere hone ya na hone se

Sunne m galat lage par yahi sachai h
Izzat haath m nahi milti sabne mehnat karke kamaayi hai
Thoda aur sehen karle fir hoga sab theek
Upar waale ne teri life plan krke Bnai hai

Koshish karne se kuch barbaad nahi hota
Koi paida hone pr hi ustaad nahi hota
Kadwe ke bina meethe ka swaad nahi hota
Bina tyaag ke india aazad nahi hota
Haar hui aaj,kuch nhi hota
Jeb bhaari hone se koi khush nahi hota
Jo aaj galat hua harr roz nahi hota
Koshish karke haarne se afsos nahi hota

Fal chahiye sabko par beej kuch hi bote hai
Ache ho ya bura wo insaan hi hote hai
Pareshani kya hoti hai unse jaake poocho
Jo har raat kisi sadak ke kone pr jaake sote hai

Mushkilo se bhari beshaq har ek raat ho par
Jaha bhi mai jaau bas meri hi baat ho
Khel khatam hone se pehle ek hi khwahish
Divyaansh kon tha poori duniya ko yaad ho



Credits
Writer(s): Divyansh Verma
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link