Uljhan

Nahi maloom mujhay kia hoon mein
Nahi rahoon khud ke kaboo mein
Mein na jaanon ke kia chahoon mein
Khete pagal shayad haan hoon mein

Aankh nam aur yeh gum mujhay khaaye jaaein
Koi qareeb nahi par loog kaafi daayein baayein
Umar chooti mein hi dil pe kaafi roug lage
Kari to koshish par woh mujhay nahi rok sake
Zindagi mein toh loog kaafi aaye jaaein
Dil ki qeematoon ke daam yahan lagayein jaayein
Dil kay kaalon kay yahan chehray rehtay bohot sajay
Zalim zamana mujhay buray tabhi loog lagein
Meri shayari mein dard dikhay
Chars peekay verse likhay
Sooch oopar sar neechay
Dil ka yeh marz kissay, bayan karein qarz jaissay
Ada karein dard mein se dawa karein
Farsh pe yeh jama karein
Dard o Gubaar, lafzoon mein bayan karein
Cheech o Pukaar, woh jo sar mein mere
Ghar mein mere, woh jo dil me chupi baatein mujhay dard deete reh
Woh jo laatein hain awaazein mujhay dard pe tere
Zakham bhar de mere, mujh pay karde karam
Ab toh mangtay hoey thujhsay bhi aati sharam mujhay sharam
Khara aage tere khaali haath joor ke
Tunnay jo dia dil mein aagaya phir toor ke

Nahi maloom mujhay kia hoom mein
Nahi rahoon khud ke kaboo mein
Sab se ziyada mujhay khud se hi dar lage
Koi jagah nahi jo mujhay ab ghar lage
Mein na jaanon ke kia chahoon mein
Khete pagal shayad haan hoon mein
Poori zindagi hum khud ko na badal sakay
Alag sooch sab se alag mere falsafay

Mujhay zindagi mein meri kaafi dukh deekha
Khali jeeb, khali peet, bohot kuch seekha
Gaya mujhay waqt par yeh rehta nahi aik jaisa
Gaya to mein thak par hai safar kaafi deekh beta
Dil nazook cheez yeh khiloona nahi
Har chamakti hoe cheez hoti soona nahi
Jitni marzi maar le tu haath peer
Jaisa hum chaahein aksar waisa hota nahi
Sach to yeh keh apne haath mein sab kuch nahi
Sach to yeh ke kisi haal mein hum khush nahi
Jo bhi chaaha mujhay mila, meri mehnatoon ka sila
Tere saath tere bina, dono tarhaan kabhi mitna mera dukh nahi
Kahbhi dikha mujhay sukh nahi
Rahoon ghum oochai pe suroor ki mein
Bayaan karo apna dard bhi khubsurti se
Aadhi umar kaati taire maire raaste pe
Aadhi umar kaati rooz unhi bhaagte hoe
Bachi kuchi zindagi lage ganeemat mujhay
Ab mein subha uthoon rooz unhi khaaste hoe
Na maani haar kabhi shuru se hi dheet tha mein
Ab itne saal se tha bhooka jis cheez ka mein
Kabhi kabhi dil kare yeh sab choor doon mein
Duniya se saare naatay apne phir se toor do mein

Nahi maloom mujhay kia hoom mein
Nahi rahoon khud ke kaboo mein
Sab se ziyada mujhay khud se hi dar lage
Koi jagah nahi jo mujhay ab ghar lage
Mein na jaanon ke kia chahoon mein
Khete pagal shayad haan hoon mein
Poori zindagi hum khud ko na badal sakay
Alag sooch sab se alag mere falsafay



Credits
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link