Safar

Safar mera, main beh raha
Kya tum mere sath ho
Jo khwaab dekhe maine
Kya tumne dekhe hai vo
Manzil se zyaada raaston me hai yeh kaisa jaadoo
Khuli hawaa hai jaise kar rahi mujhe bekaboo
Koi samajh na paaye hai yeh ehsaas vo
Udein kuch ise kadar ki choo lein iss aasmaan ko

Raaston me aajati hai gardishein
Par kya hi fikar hai jab tum sath ho
Kyun na chalein hum aisi hi raah pe
Naa hi jaane is din ki kabhi raat ho
Raaston me aajati hai gardishein
Par kya hi fikar hai jab tum sath ho
Kyun na chalein hum aisi hi raah pe
Naa hi jaane is din ki kabhi raat ho

Mil toh jaate hain iss safar mein humsafar kayi
Kyu kho na jaaye iss safar me hum kaheen

Safar Mera mein beh raha kya tum mere sath ho
Jo khwaab dekhe maine kya tumne dekhe hai vo
Manzil se zyaada raaston me hai yeh kaisa jaadoo
Khuli hawaa hai jaise kar rahi mujhe bekaboo
Koi samajh na paaye hai yeh ehsaas vo
Udein kuch ise kadar ki choo lein iss aasmaan ko



Credits
Writer(s): Shrey Panchamia
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link