Yaad

Wo nanhe kadam, wo pehli kalam
Wo khwaabon ki manzil ka pehla safar

Wo classes mein teacher ka thoda sa dar
Wo chhutti ki ghanti se jaana machal

Wo girta paseena recess ke baad
Har roz padna Madam ki daant

Ye sab aa raha hai yaad
Sab aa raha hai yaad
Ye sab aa raha hai yaad
Sab aa raha hai yaad

Wo bachpan ki bholi si yaariyan
Wo likhna kisi ke liye shayariyan

Kabhi bhool jaayein jo ghar mein kitaab
Bagal wale section se lena udhaar

Wo miljul ke lena tiffin ka maza
Kisi ki shaitani, kisi ko sazaa

Ye sab aa raha hai yaad
Sab aa raha hai yaad
Ye sab aa raha hai yaad
Sab aa raha hai yaad

Ab bhi hain pakki wo sab yaariyan
Wo kisse hazaaron, wo badmaashiyan

Wo PT and Games, Drama and Dance
Wo chhup-chhup ke life ka pehla romance

Ye sab aa raha hai yaad
Sab aa raha hai yaad
Ye sab aa raha hai yaad
Sab aa raha hai yaad



Credits
Writer(s): Tushar Maithani
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link