Afsanay

Afsanay ab likhta nahin hoon
Main duniya ko dikhta nahin hoon
Mat poocho main kitna sahi hoon
Kyun ek jagah tikta nahin hoon?

Basar karte hain tere dil mein
Asar hai toh shikwa karein kyun?
Zikar hota hai har mehfil mein
Woh chaahte, par dikhta nahin hoon

Afsanay ab likhta nahin hoon
Main duniya ko dikhta nahin hoon
Mat poocho main kitna sahi hoon
Kyun ek jagah tikta nahin hoon?

Basar karte hain tere dil mein
Asar hai toh shikwa karein kyun?
Zikar hota hai har mehfil mein
Woh chaahte, par dikhta nahin hoon

If I were you and you were me (you were me)
I would forgive you jaise tu ho ek surang mein
Uske end mein tujhko roshni dikhi (light it up)
That's how I see you, khud ko meri nazar se dekh

If I were you and you were me (if you were me)
Main aise toot'ta ke toot'te hain taare kya
Woh aaj bhi hai muntazir (yeah)
Mukhtasir ek mulaqaat ka, phir kabhi mil paayein na

Dil doobe, manzil lage door bahut
Urooj se zawaal dekhein hain noor bahut
Na tere haath mein zindagi aur na hi maut
Mere haath mein hai qalam, qala aur shauq

Har khauf se aazaad kar do meri zaat ko
Qismaton se paak kar do mere haath ko
Jis hisaab se rakha hai dil pe bojh mere
Jaise karma peeche pada hai haath dho

Gaane gaaye bahut, dil dukhaye bahut
Na tumhein aaye sharam, na humein aaye maut
Main sane hoon iss minute, next minute I'm psycho
Industry kare follow, brands go where I go

Yeh mera flex nahin hai, life hai (yeah, yeah)
Send my cheque, mujhe baatcheet nahin chahiye (yeah, yeah)
I got bills, mard ke alag hotay qaiday (mard)
Agar kamaate nahin toh mard ho tum kaahe ke?

Future dikhta nahin hai, future is what I say (what I say)
Woh saath khaayein, kehna padta nahin woh bhai the (bhai the)
I do or die for the gang
Bina likhat-padat ke kiye huye hain yeh muahiday

Saal girah, tab bhi khada tha main mic pe
Gawah yaar, rawadaar, mere saath
Rahe sada aabaad yeh aawaaz
I rap for a purpose, yeh career ek cause

You expect me to be perfect and I'm just full of flaws
Kaise likhta hoon yeh verses, kya karta hoon mehsoos
Main bina taj ka badshah, got nothing to lose
I'm crossing lines just to cancel out the booze

Ab na dil se nikle aarzu
Jab se dil se nikli aaj tu
Dil tha mera gosha-e-sakoon ek
Kyun bana gayi hai isay bazaar tu?

Afsanay ab likhta nahin hoon
Main duniya ko dikhta nahin hoon
Mat poocho main kitna sahi hoon
Kyun ek jagah tikta nahin hoon?

Basar karte hain tere dil mein
Asar hai toh shikwa karein kyun?
Zikar hota hai har mehfil mein
Woh chaahte, par dikhta nahin hoon

Afsanay ab likhta nahin hoon
Main duniya ko dikhta nahin hoon
Mat poocho main kitna sahi hoon
Kyun ek jagah tikta nahin hoon?

Basar karte hain tere dil mein
Asar hai toh shikwa karein kyun?
Zikar hota hai har mehfil mein
Woh chaahte, par dikhta nahin hoon

Dil mein sawaal bade, bichhe huye jaal bade
Meri misaal chale, chaahte saare chaal chalein
Thappad yeh gaal pe, industry poori paalte rahe
Laya kitaab jo tum khol ke sirf chhapte rahe

Talwe mere chaat'te rahe, paisa nahin, woh daat de rahe
Dekhe nahin halaat mere, yaaron ne jo khwaab dekhe
Poore karoon aaj, ab iss haath mein woh aag, bete
Paise mein woh baat nahin, jo izzat meri aaj, bete

Yeh imtihaan kaisa? Sooraj nahin, par chaand dekha
Likhari jaanleva, Urdu Rap ko saans deta
Kissey ladoon jung? Sab waaqif hain, yeh maidaan mera
Rap meri jaan, main Karachi ke liye jaan de raha

Yeh ladke likhte, mujhe dikhte apne bars, bhai
Darta nahin girne se, bas duniya se naaraz, bhai
Aaine ko tod dein, yoon jodte alfaaz, bhai
Lafz kaise tolte, jab bhaari yeh aawaz, bhai?

Dil mera saaf, main industry ka woh raaz, bhai
Darte mujhse aaj bhi, shaaheen aata baaz nahin
Bhai full 50, Talha jaane, khola haath nahin
Kagaz ko main aag doon, pichwaade inke raakh, bhai

Sar apna noch rahe, hum sote huye bhi soch rahe
Khwabon mein bhi apno ke khushi ke aansu poch rahe
I ain't a role model, aaj bhi on the road, ayy
Underground ko laaya mainstream waale shows mein

Deal hoti close, uthte saath mujhe hosh nahin
Industry mere --- pe, par nahin, woh meri dost nahin
Rozi roti likhi upar waale ne, afsos nahin
Darte nahin hum maut se, musafir marte roz, bhai

I ask God, why you made fear?
Sab rona chaahte, but we hate tears
I'm never sober, but I stay clear
Samajh se baahir main, jaise Shakespeare

Arsay se khayi nai roti maa ki hath ki
Taaron ko naam doon, tu dekh meri saadgi
Dushman ko bhi kaam doon, kaise hogi barabari?
Log meri mehnat ka fal khaana chaahte aaj bhi

Yeh baatein nahin kaagazi, main khud ko deta daat, bhai
Sach se duniya bhaagti, aur main sirf sach ke saath, bhai
Highest in the room, mujh tak pahuchenge kya khaak, bhai?
Har gaanay ki main dhun, sirf beaton se karta baat, ayy

Afsanay ab likhta nahin hoon
Main duniya ko dikhta nahin hoon
Mat poocho main kitna sahi hoon
Kyun ek jagah tikta nahin hoon?

Basar karte hain tere dil mein
Asar hai toh shikwa karein kyun?
Zikar hota hai har mehfil mein
Woh chaahte, par dikhta nahin hoon

Afsanay ab likhta nahin hoon
Main duniya ko dikhta nahin hoon
Mat poocho main kitna sahi hoon
Kyun ek jagah tikta nahin hoon?

Basar karte hain tere dil mein
Asar hai toh shikwa karein kyun?
Zikar hota hai har mehfil mein
Woh chaahte, par dikhta nahin hoon



Credits
Writer(s): Anjum Talha Anjum
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link