Haaye Musa E Kazim

Sadae fatima zahra hai haaye musa e kazim
Aseeri me bade sadme uthaaye musa e kazim

Hussain ibne ali ne bhi musibat me watan choda
Madine me na tum bhi rahne paaye musa e kazim

Jawani aur zaeefi jiski qaido band me guzri
Imamo me nahi koi siwae musa e kazim

Sitam ne qaid kar ke is qadar laghar banaya tha
Nazar aati thi bas khali ridaaye musa e kazim

Shahadat pa gaye lekin rahi haatho me hathkadiyan
The jakde bediyon me haaye paye musa e kazim

Qalam karwa diye harune abbasi ne sar unke
Jo momin dil me rakhte the wilaye musa e kazim

Sitam ne naam ko badnam karne ki bhi koshish ki
Magar sunna padi madho sanaye musa e kazim

Raza gham karne ka haq kab adaa ho paya fidvi se
Qubul ashaar karle bas khudae musa e kazim



Credits
Writer(s): Fidvi Lucknowi
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link