Aankhein

Aankhein to band hain mann se mai tang hoon
Hoon mai akela ya tum sab ke sang hoon
Bachpan ke yaadon mein ab bhi malang hoon
Shayad unn yaadon mein khuli patang hoon
Ab jo bada hoon kyu khud se mai jung hoon
Ladta jhagadta na khud ko pasand
Le chalo mujhko unn yaadon mein waapas
Jaha na nirasha bass rehta mai khush hoon
Ab rehta mai sushh hoon
Kehna bhi chahoon to bolu mai kisse
Khud se doharata hoon bachpan ke kisse
Kya aaega daur wo beeta jo firse
Kab aae wo pal jab nikalte ghar se
Uss garmi ki dhoop mein
Na kisi ki fikar bass rehta mashroof mai
Uss gali ki dhool mein
Wo gaane jo bajte the kaanon mein loop mein
Ab iss dhundhli si dhunn mein
Khoya mai khud mein
Beh raha bheedh mein
Raahein anjaan si
Aankhein bhi band hai
Saansein bhi tez si
Kab iska ant hai
Dikhta ab kuch ni
Sab kuch anant pe
Mann mein na shanti
Anek sawal
Jiska jawab ni bass ek ummeed hai
Jo ab iss syaahi se maine lagai hai

Aankhein jo khuli to dhundhla sa sab kuch
Kaanon mein bajti ye dhunn laata sab kuch
Haawi jo ho rha sar pe to lagta hai darr bhi ab samay jo beeta hai mat puchh
Samay mein kaid sa
Wapas bhi aana hai mujhe to bhootkal se
Sapne jo dekhta
Karne hain poore wo mujhe ab wartaman mein
To raaton ko jaagu ab sota nahi
Sapne tab dekhu jab aankhein khuli
Abdul sa kalam aur isme jo syaahi bhari
Usse panne main bharta ab rukta nahi
Ab saadi si zindagi kalam ki nokh pe
To likhta ab khud ki mai kismat
Baatein jo hoti ab god se
Kehte wo mujhe tu dekhna na mudd ke
Mudna bhi kyu hai ni jana ab laut ke
Dohrane na mujhe ab firse jo faults the
Badhna hai aage jo khule hain raaste
Kam hote faasle manzil k paas se
Bole sab saans le par rukna nahi hai
Pohchunga haanf k abhi to half-way
Motive wahi hai jo haare na haar k
To ab bass kaam mein busy
Subeh ya shaam mai thakta nahi
Jaane diya jo bhi baatein thi beeti
Ab rukta nahi jab se aankhein khuli
Par jaane ka samay kareeb
So when I get off of this mic and leave
I hope you remember the name
Its M O T I V E



Credits
Writer(s): Shivam Kumar
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link