Anna Nuqttatil Lati Tehtal Baa

Ali Ali Ali Ali
Ali barish barsaye
Ali suraj palthaye
Ali Sare jahano ko rissk khilaye

Ali barish barsaye
Ali suraj palthaye
Ali Sare jahano ko rissk khilaye

Ana Saifulla Wajulla Nafsulla
Ana Saifulla Wajulla Nafsulla

Ali ney mimber e koofa se hai ye farmaya
Baghair merey koi lafz bun nahi sakta

Anna nuqttatil lati tehtal baa
Anna nuqttatil lati tehtal baa

Merey ishaarey se sara nizaam chalta hai
Ali jo kehta hai duniya may hokey rehta hai
Ye dojaan pa chalta hai raaj bus mera

Anna nuqttatil lati tehtal baa
Anna nuqttatil lati tehtal baa

Hai meri jumbish e abro ka naam louho khalam
Kisi ko di hai qanayat kisi ko jaao hasham
Wohi hai marzi e khaliq jo hai mera mansha

Anna nuqttatil lati tehtal baa
Anna nuqttatil lati tehtal baa

Ye arsh waley nazarou'n ko mainey qalq kiya
Ye chand or sitarou'n ko mainey qalq kiya
Agar mai chahou'n to phir aftaab paltheyga

Ali Ali Ali Ali
Ana Saifulla Wajulla Nafsulla
Ana Saifulla Wajulla Nafsulla

Ali Fakhre Bani Adam, Ali sarkar e inso jaan
Ali Sarwar, Ali Safdar Ali Shaire Saaf E maidan
Ali Hadi Ali imaan Ali lutfo Ali Ehsan
Ali Hikmat Ali shafi Ali Dawar Ali Darma

Ali Jannat Ali Nameet Ali rehmat Ali Gufraa'n
Ali Aaqa Ali Moula Ali syed Ali Rehbar

Ali Kaba Ali Qibla Ali Masjid Ali Mimbaar

Ali Saqi Ali Kausar Ali Malik Ali rizwan
Ali essa Ali Moosa Ali qizro Ali Yahiya
Ali Yaseen Ali taha Ali Hirzo Ali Quran

Ali Zaneet Ali Barkat Ali Izzat Ali Daulat Ali

Mai maar kar bhi jhila sakta ho khuda ki khasam
Hazaar duniya bana sakta ho khuda ki khasam
Mai jo bhi kehta ho duniya may bus wohi hoga
Khuda jo kehta hai mai karta ho khuda ki khasam

Anna nuqttatil lati tehtal baa
Anna nuqttatil lati tehtal baa

Mera muqaam mera martaba khuda jaaney
Mera wajood hai kya sirf mustafa jaaney
Bachaayei'n rakha merey raaz ko mera sajda

Anna nuqttatil lati tehtal baa
Anna nuqttatil lati tehtal baa

Ye kaaf o noon may sir e mateen bhi mai hu'n
Har ek shai pay imam e mubeen bhi mai hu'n
Atal hai kouno makaa'n par likha huwa mera

Anna nuqttatil lati tehtal baa
Anna nuqttatil lati tehtal baa

Khuda kay hukm se aylaan ye sunaya hai
Nabi ney apna mujhey janashee'n banaya hai
Nabi hai shaher to hyder hai uska darwaaza

Anna nuqttatil lati tehtal baa
Anna nuqttatil lati tehtal baa

Mujhey samajhney may tum khudh ko bhool jaaogey
Mai wo nahi ho to kya ho samajh na paogey
Mera shumaar kisi may bhi ho nahi sakta

Anna nuqttatil lati tehtal baa
Anna nuqttatil lati tehtal baa

Merey muqaam merey martabou'n se hairaa'n ho
Zameen walo'n merey moujizou'n se hairaa'n ho
Khuda koi mujhey kehta hai or koi moula

Anna nuqttatil lati tehtal baa
Anna nuqttatil lati tehtal baa

Farhaan sab fanna hojayenge ye koun o makaa'n
Ay Arsh kehdo bacheyga nahi koi insaa'n
Raheyga baaqi magar zuljalaal ka chehra

Anna nuqtatil lati tehtal baa
Anna nuqtatil lati tehtal baa



Credits
Writer(s): Sajjad Arsh
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link