Arbaeen Aagaya Tera Mere Mazloom Hussain

Hussain Hussain Hussain Hussain Ya Hussain

Arbayee'n agaya tera merey mazloom Hussain
Lab pay zainab ka tha nouha merey mazloom Hussain

Mera qasim bhi nahi Mera asghar bhi nahi
Mera abbas nahi mera akbar bhi nahi
Hogayi kitni mai tanhaMerey mazloom Hussain

Arbayee'n agaya tera merey mazloom Hussain

Aayei'n akbar ki sada sunti ho jab bhi azaa'n
Paalney wali ussey kaisey ji payegi maa
Muh ko aata hai kaleyja merey mazloom Hussain

Arbayee'n agaya tera merey mazloom Hussain

Pusht zakhmi hai meri Sar bhi zakhmi mera
Is bahen se to zara pucho kya zulm huwa
Hai kamar meri khamida Merey mazloom Hussain

Arbayee'n agaya tera merey mazloom Hussain

Hokey paband e rasan Haaye bazaar gayi
Ek qayamath ye huwi jab mai darbaar gayi
Berida thi teri behna merey mazloom Hussain

Arbayee'n agaya tera merey mazloom Hussain

Apney bhai mujhey jo amanath di thi
Rehgayi qaid may wo shaam se la na saki
Margayi meri sakina merey mazloom Hussain

Arbayee'n agaya tera merey mazloom Hussain

Bazuo'n par hai nasha'n uthkey dekho to zara
Hum pay kya zulm huwey mujhse pucho to zara
Kya batao huwa kya kya merey mazloom Hussain

Arbayee'n agaya tera merey mazloom Hussain

Bhai bin ap kay ye kaisey jee paye bahan
Bhai karbal may rahey or mai jao watan
Gham ye tadpayega tera merey mazloom hussain

Arbayee'n agaya tera merey mazloom Hussain

Margaya bhai mera jaakey kis muh se kaho
Royegi milkey kay galey Kaisey khamosh raho
Jab tumhey puchegi sughra merey mazloom Hussain

Arbayee'n agaya tera merey mazloom Hussain

Rooho beychain huwi ashk aankho se bahey
Dil ne awaaz ye di hath matam ko uthey
Arsh jab naam ye aaya Merey mazloom Hussain

Arbayee'n agaya tera merey mazloom Hussain



Credits
Writer(s): Sajjad Arsh
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link