Zinah

Ladke Jama chaar, Dekhein ladki ka libaas
Nazarein libaas par, Ladki sharamsaar
Ladki bhaag nikli, Toh aage thi deewaar
Khaayi idhar, udhar talwaar Ab
Hataye kaise pair, uske haath mein Tezaab
Ladke pakde hath, muhn par rumaal
Ladki hui behaosh, dala andar car
Laya apne adde per, muhn par naqab
Rakha usse zameen per, utaari Salwaar
Uske chal rhe the periods, matlab ladki thi
Bimaar
Ankhein uski band, Shakal uski saaf
Dekh kr uski halat, haste lagataar
Hosh Jun hi aya, wahan chal raha tha jaam
Pak raha haaraam, dekh rahe the porn
Mein royi gidgidayi, meri sunni na awaaz
Gayab thi qameez meri, aur salwaar
Behoshi ki halat mein, mera hogya tha Zinah
Camera bhi on, qaid saari waardaat
Mein nangi thi zameen par, badhe the mere
Haath
Taangon pe tha khoon, thi aankhein meri laal
Gaal pe kharonche, meri izzat ki kharab
Dard tha Qamar mein, meri toot rahi thi jaan
Garoob ho raha din, ho rahi thi shaam
Akhon mein the anshu, Hont rhe the kaamp
Ro rahi thi mein, bolein aansu na nikaal
Abhi hua kya tere sath, abhi hona iske baad
Khaak thi gawah, jo mera ho raha tha haal
Baal mere kaate, uspe kar diya peshaab
Jaise karte hai halaal kiya mera vaisa haal
Khajar nikalein bolein deige tujhe maar
Khaak thi gawah, jo mera ho raha tha haal
Baal mere kaate, uspe kar diya peshaab
Jaise karte hai halaal kiya mera vaisa haal
Zinah toh Zinah meri Rooh Di thi maar
Wahan pada tha tezab, meine diya hath maar
Ek ko di laat, dusra khiche mere baal
Botle uske muhn pe, teesra khinche meri taang
Hath aya kaach, uska sar diya kaat
Ab hogyi thi raat, samne mere laash
Mein bach kar ayi bhaag, meine kara aisa kamal
Phate the mere kapde, badan par the daag
Zinda thi laash, rhi thi mein bhaag
Log hue hairan, puchhein kiya kis ne haal,
Ye wohi log the, jo rahe the ladkiyan taad
Toh mein pehnu gar hijaab, ya laga rakhun naqaab
Inn se hota nahi bardashat, toh usko karte hain Harass
10 feesad bhi inke, fass jati hai jaal
Kisi ko bolte aag, kisi ko bolein maal
Bharosa kare koi toh usse, karte troll
If I standing in the street or sitting in
The park
Mera jism log dekhein, jaise hun bina libaas
Akele jati na mein bahar, jab tak ho koi na sath
Letana jo ho bister par toh dekhte nahi zaat
Shadi ki aye baat, saat naslein aati yaad
Ladki chahiye virgin, khud bitate bahar raat
Khurafat khurafat, ilm ki zanjeer mein
Jo karein bad-ikhlaqi, baant dein lakeer mein
Uthaye jo awaaz, sajate tasveer mein
Kaampte shareer jo hojate zaleel hain
Ye dour hai alag, yahan din aur kya raat
Baap hai hairan, kahan hai meri aulaad
Bache puchheinge sawaal, toh kya honge jawab
Siyaasat rahi lada, bhaichara fannah
Jin ke paas nahi paisa, woh kar rahe hain kaam
Jin ke ameer khaandaan, woh drugs mein mubtla
Tareekh kehti kuchh, kuchh kehte hain log
Jo hoti hai sachayi, panne diye jala
Aag ki hain laptein, khoon hai sawaar
Wazan hamare kandhon par, junoon hai khumaar
Jo fankaar hai sacha, unko dil se salaam
Jadodehd se jo door, unki karun kyun mein baat
Bhad rahe hain Rape, Badh rahe hain case
Police horhi hai fail, mujrim andar thodi
Der
Fir Paisa chalta tol tol ke usko mil jati
Hai Bail
Na Saza gunehgaar ko, na hoti usse jail
Jiske do do hain muhn, vesi chal rhi hai rail
Macha rakha hai khel, pata hai hamein
Tum bete politician ke, badal doge game
Paisa, izzat, shohrat, inka bhar jayega pet
Pakad le koi nass toh uske samne jate let
Kiya koi shayad kaand ho, banaya bada Makan ho
Doulat ka jahan ho, na bister par aaraam ho
Mein batein karun classic, tum itne na hairan ho
Gane honge band jaise horhi azaan ho
Ye toh thi sachayi, aage dekho mera kaam jo
Meri aa rahi hai album jiska naam Aieen Sheen Qaaf
Karo intezaar, bass aani issi saal
Kuchh warq dun jala, kuchh lafz dun mita
Kehne ko boht sara par ab leta hun vidaa aur
Shukriya aap sab ka jo mujhe tha sunna
Shukriya aap sab ka jo mujhe tha sunna
Shukriya aap sab ka jo mujhe tha sunna



Credits
Writer(s): Aliya Wani, Zakir Sudhmahadev
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link