Iztiraab

Tera chehra mai dekhta raha
Raat bhar mai tera muntazir raha
Tishnagi si hai deedaar ki
Nargisi aankhen mere yaar ki

Mehroom hu
Sitamgar hai tu
Iztiraab hai
Bebasi meri
Na hisaab hai
Koi jawaab de
Aj jawaan hain
Haan nadaan hain

Iztiraab hai bebasi meri
Aj jawaan hain haan nadaan hain

Apni khuld mai
Belaus panchi mai
Uru bewaja
Dhoondoun mai aashiyaan

Qafas mai hu band
Faqat tu meri
Rehnuma kyu bana
Faasla yu mera
Manoos tha
Tere qurb ka
Tujhse waabasta mai
Kyu na raha yahan

Iztiraab hai bebasi meri
Iztiraab hai bebasi meri

Mehroom hu
Sitamgar hai tu
Iztiraab hai
Bebasi meri



Credits
Writer(s): Muhammad Huzaifah Sehgal
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link