Tera Aastan

Tera astaan to na mil saka
Tera astaan to na mil saka
Teri rahguzar ki zameen sahi
Tera astaan to na mil saka
Teri rahguzar ki zameen sahi
Tera astaan to na mil saka
Teri rahguzar ki zameen sahi
Humein sajda, humein sajda karne se kaam hai
Humein sajda karne se kaam hai
Jo wahan nahi to yahin sahi

Tera astaan, tera astaan
Tera astaan, tera astaan
Tera astaan, tera astaan
Tera astaan, tera astaan

Meri zindagi to firaq hai
Wo azal se dil main makeen sahi
Meri zindagi to firaq hai
Wo azal se dil main makeen sahi
Wo nigah-e, woh nigah-e-shauq se door hain
Woh nigah-e-shauq se door hain
Rag-e-jaan se laakh qareen sahi

Tera astaan, tera astaan
Tera astaan, tera astaan
Tera astaan, tera astaan
Tera astaan, tera astaan

Kabhi yeh haqeeqat-e-muntazar
Nazar aa ibaas-e-majaz mein
Ke hazaron sajde tarap rahe hain
Meri jabeen-e-niaz mein

Na kaheen jahan mein aman mili
Jo aman mili to kahan mili
Mere jurm-e-khana kharab ko
Tere ufuv-e-banda nawaz mein

Aare, mujhe bhaithne ki jagah mile
Mujhe bhaithne ki jagah mile
Meri aarzoo ka bharam rahe
Teri anjuman, teri anjuman mein agar nahi
Teri anjuman mein agar nahi
Teri anjuman ke qareen sahi

Tera astaan, tera astaan
Tera astaan, tera astaan
Tera astaan, tera astaan
Tera astaan, tera astaan
Tera astaan, tera astaan
Tera astaan, tera astaan
Tera astaan, tera astaan
Tera astaan, tera astaan

Sar-e-Toor ho, sar-e-Hashr ho
Humein intezar qubool hai
Sar-e-Toor ho, sar-e-Hashr ho
Humein intezar qubool hai
Woh kabhi milen, woh kabhi milen, woh kaheen milen
Woh kabhi sahi, woh kaheen sahi

Tera astaan, tera astaan
Tera astaan, tera astaan

Wasl-o-firaq-e-yaar ka qissa ajeeb hai
Jitna mein us se door, woh utna qareeb hai
Deta to hai sada woh mujhe sash jahaat se
Ab mein na sun sakoon to yeh mera naseeb hai
Likha hai yeh kitaab-e-mohabbat ke baab mein (mohabbat ke baab mein)
Mushkil usi qadar hai jo jitna habeeb hai

Kasrat mein bhi wahdat ka tamasha nazar aaya
Har cheez mein aks-e-rukh-e-zeba nazar aaya
Tu kab kisi talib ko sarapa nazar aaya
Dekha tujhe utna, jise jitna nazar aaya
Tu ru-ba-ru ho kar bhi nigahon se chhupa hai (nigahon se chhupa hai)
Tu ho ke ayan bhi pas-e-parda nazar aaya

Sajda jo kiya haar ke duniya ki jafa se
Aayi sada, aakhir mera hi dar nazar aaya
Hairat mein hoon kis baat ki hai mujh pe inayat?
Mujh kamtar-o-bad-tar mein tujhe kya nazar aaya?
Kaise main kahoon yeh ke tu nazron se chhupa hai? (Nazron se chhupa hai)
Sab chor gaye, jab tu hi tanha nazar aaya

Guzra jo tasawwur mein teri rah-e-fana se
Haider kahin Shabbir-o-Qalandar nazar aaya
Tu mera bhi Khaliq hai, Muhammad ka bhi Khaliq
Kaisa yeh khata-kar ko rishta nazar aaya
Tu lakh chhupe mujh se, ae Khaliq-e-do-alam (ae Khaliq-e-do-alam)
Har zarra tera parda uthata nazar aaya

Woh meri nazar se chhupenge kya
Jo makeen hain mere khayaal mein
Woh meri nazar se chhupenge kya
Jo makeen hain mere khayaal mein
Unhein jab bhi chahoon mein dekh loon
Unhein jab bhi chahoon mein dekh loon
Mein kaheen sahi, woh kaheen sahi

Tera astaan, tera astaan
Tera astaan, tera astaan
Tera astaan, tera astaan
Tera astaan, tera astaan
Tera astaan, tera astaan
Tera astaan, tera astaan
Tera astaan, tera astaan
Tera astaan, tera astaan



Credits
Writer(s): Muhammad Samie
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link