Raabta

Kehte hain khuda ne iss jahaan mein sabhi ke liye
Kisi na kisi ko hai banaaya har kisi ke liye
Tera milna hai uss rab ka ishaara maanu
Mujhko banaya tere jaise hi kisi ke liye

Kehte hain khuda ne iss jahaan mein sabhi ke liye
Kisi na kisi ko hai banaaya har kisi ke liye
Tera milna hai uss rab ka ishaara maanu
Mujhko banaya tere jaise hi kisi ke liye

Kuch toh hai tujh se raabta
Kuch toh hai tujh se raabta
Kaise hum jaane, hume kya pata
Kuch toh hai tujh se raabta
Tu humsafar hai
Phir kya fikar hai
Jeene ki wajah yahi hai
Marna issi ke liye

Kehte hain khuda ne iss jahaan mein sabhi ke liye
Kisi na kisi ko hai banaaya har kisi ke liye

Hmm meharbaani jaate-jaate mujhpe kar gaya
Guzarta saa lamha ek daaman bhar gaya
Tera nazaara mila, roshan sitaara mila
Taqdeer ki kashtiyon ko kinara mila

Sadiyon se tarse hai jaisi zindagi ke liye
Teri sohbat mein duaayein hain issi ke liye
Tera milna hai uss rab ka ishaara maanu
Mujhko banaya tere hi jaise kisi ke liye

Kuch toh hai tujh se raabta
Kuch toh hai tujh se raabta
Kaise hum jaane hume kya pata
Kuch toh hai tujhse raabta

Tu humsafar hai, phir kya fiqar hai
Jeene ki wajah yahi hai
Marna issi ke liye

Kehte hain khuda ne iss jahaan mein sabhi ke liye
Kisi na kisi ko hai banaaya har kisi ke liye...



Credits
Writer(s): Pritam Chakraborty, Irshad Kamil, Amitabh Bhattacharya
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link